Topics
isi
terhan ka aik waqea yeh hai ke mere aik dost molvi sahib ne mujh se israar kya
ke mere oopar tavajja ki jaye. Agar koi mujhe dimaghi nuqsaan puhanche to is ki
koi zimma daari aap ke oopar nahi hogi. Mein ne nadani mein un se wada karliya.
Subah Fajar ki azaan ke waqt jab mein un ki taraf mutwajjah huwa aur apne
lateefa qalbi aur nafsi ki roshniyan un ke lateefa akhfa? Mein muntaqil kee to
foran huzoor baba jee ka haath samnay agaya. Taiz aawaz mein mujhe tanbeeh ki
aur sath hi yeh bhi kaha ke un ke biwi bachon ki nighdasht tum karo ge? Molvi sahib
ka dimagh ulat gaya to un ke biwi bachon ka kya banay ga? Yeh koi kamaal ki
baat nahi hai ke aadmi ja o be ja apni taaqat ka muzahira kere. Kamaal ki baat
yeh hai ke kisi shakhs ki tarbiyat karkay is qabil bana diya jaye ke woh is
taaqat ka muthammil hosakay .
Tazkira Qalandar Baba Aulia R.A
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Aisa
ensaan jis ke deedaa aitbaar aur chasham haqeeqat ke samnay har shye ki shayeeyat
utth gayi ho aur woh muratib wujood ko samajh kar un mein urooj karta rahay,
yahan taq ke aalam takveen se baala qadam rakhay aur maqam wahdaniyat ke
mushahiday mein ghark reh kar ahadiyat ki tafseel mein ain wahdat ka jamal
mushahida karkay maqam wahdat ki masti aur be kaify mein gum rehtay hue martaba
ahadiyat par wapas aajay. Is ke baad apne Muratib se judda hue baghair ahadiyat
ke mushahiday mein mehv rahay. Phir insani martabay par poanch kar abodit ka
maqam haasil kere, yahan taq ke is ka urooj o nuzool aik hojaye. Juzw mein kul
aur kul mein juzw ko dekhe. Phir un tamam se mustaghni hokar herat Mahmooda
yani suroor mein rahay to is ko “Qalandar” kehte hain .