Topics
Aik sahib hain, Javed sahib, lalokhit mein un ki garment ( malbosaat )
ki dukaan hai. In ke bachay ko polio hogaya. Huzoor Baba Sahib ki khidmat mein
haazir hue aur bachay ko charpayee par luta diya huzoor Baba Sahib ne koi
mufrad dawa batayi aur farmaya is ko pani mein pakka kar taang ko بھپارا do. Sirf aik dafaa ke amal se polio khatam
hogaya. Lekin ajab ramz hai ke ab Javed sahib ko nah to is Booti ka naam yaad
hai aur nah hi is ki shakal yaad hai. Woh jab bhi kisi polio zada bachay ko
dekhte hain un ke dil se aik aah nikalti hai ke kash! Mein ne is dawa ka naam
likh liya hota !
Tazkira Qalandar Baba Aulia R.A
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Aisa
ensaan jis ke deedaa aitbaar aur chasham haqeeqat ke samnay har shye ki shayeeyat
utth gayi ho aur woh muratib wujood ko samajh kar un mein urooj karta rahay,
yahan taq ke aalam takveen se baala qadam rakhay aur maqam wahdaniyat ke
mushahiday mein ghark reh kar ahadiyat ki tafseel mein ain wahdat ka jamal
mushahida karkay maqam wahdat ki masti aur be kaify mein gum rehtay hue martaba
ahadiyat par wapas aajay. Is ke baad apne Muratib se judda hue baghair ahadiyat
ke mushahiday mein mehv rahay. Phir insani martabay par poanch kar abodit ka
maqam haasil kere, yahan taq ke is ka urooj o nuzool aik hojaye. Juzw mein kul
aur kul mein juzw ko dekhe. Phir un tamam se mustaghni hokar herat Mahmooda
yani suroor mein rahay to is ko “Qalandar” kehte hain .