Topics
Kabhi kabhi Baba Sahib ke seenay mein se khusbhoo ki laptain uthtee
theen aur yeh khusbhoo mushk ki hoti thi. Jab aisa hota to mein Baba Sahib ke
muqaddas seenay par sir rakh kar is khusbhoo ko soonghta tha aur mere oopar
masti aur be khudi ki aik kefiyat taari hojati thi .
Tazkira Qalandar Baba Aulia R.A
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Aisa
ensaan jis ke deedaa aitbaar aur chasham haqeeqat ke samnay har shye ki shayeeyat
utth gayi ho aur woh muratib wujood ko samajh kar un mein urooj karta rahay,
yahan taq ke aalam takveen se baala qadam rakhay aur maqam wahdaniyat ke
mushahiday mein ghark reh kar ahadiyat ki tafseel mein ain wahdat ka jamal
mushahida karkay maqam wahdat ki masti aur be kaify mein gum rehtay hue martaba
ahadiyat par wapas aajay. Is ke baad apne Muratib se judda hue baghair ahadiyat
ke mushahiday mein mehv rahay. Phir insani martabay par poanch kar abodit ka
maqam haasil kere, yahan taq ke is ka urooj o nuzool aik hojaye. Juzw mein kul
aur kul mein juzw ko dekhe. Phir un tamam se mustaghni hokar herat Mahmooda
yani suroor mein rahay to is ko “Qalandar” kehte hain .