Topics

Athaara Saal Ke Baad

Dr sahib ka dosra masla shadi tha. Jis larki se dr sahib shadi karna chahtay they woh hindostan mein thi. Taqseem ke baad yeh pata nahi chal saka ke woh kahan hai. Athaara saal ke taweel intzaar ke baad un sahib ka khat masool huwa. Khat le kar yeh buzurag usmaan abad, larns road walay ghar mein huzoor Baba Sahib ki khidmat mein haazir hue. Huzoor Baba Sahib ne khat parha aur parhnay ke baad sirf itna farmaya ke aap falan din Lahore chalay jayen. Wahan shadi karen. Islamabad aur meri mein honey moon mana kar wapas ajayeen .


Lahore ki roidaad bhi ajeeb roidaad hai. Jab yeh buzurag Lahore mein betaye hue maqam par puhanche to pehli mulaqaat larki ke waalid se hui . Yeh wohi sahib they jin ki wajah se shadi nahi hosaki thi. Nihayat ikhlaq se paish aeye aur ghar mein andar le gay. Larki se guftagu hui to pata chala ke woh ab un sahib se shadi nahi kere gi kyun ke ab woh tea bi aur siil jaisay marz mein mubtala hochuki hai lekin sachhi mohabbat kabhi kisi rukawat ko khatir mein nahi latayen. Hamaray mohtaram buzurag ne shadi karli. Shadi ke baad dono miyan biwi ki hesiyat se nihayat khush haal zindagi guzartay rahay. Abhi atharwaan maheena khatam nahi huwa tha ke biwi achanak daagh mufarqat day gayi. Yeh bhi qudrat ka ajeeb raaz hai ke athaara saal ki muddat ke intzaar ki tashnagi athaara mahino mein abhi poori nahi hui thi ke phir judai ki deewar beech mein aagai. Is almiya ka itna gehra assar huwa ke dr sahib taqreeban duniya o ma fi haa se be niaz hogaye aur ishhq majazi mein jo zehni yaksoi haasil hui thi woh sab huzoor Baba Sahib ki taraf muntaqil hogayi ke huzoor baba jee aur dr sahib mein doori nahi rahi. Jis zamane mein yeh alamnaak waqea paish aaya, dr sahib ki asayish o aaraam ki zindagi par barray barray log rashk karte they aur jab Huzoor Qalandar Baba Aulia ki zulff ke aseer hue to tamam dunewi asayish ke samaan khud se allag kardiye. Jis waqt is aliiiii maqam buzurag ne apna dunyawi chola badla, is waqt un ke paas taqreeban daidh so taiyan theen aur isi munasbat se suit, maghrib ki dil deeda-e hasti ne ab jo roop ikhtiyar kya woh yeh hai. Aik karta, aik lngi, Allah bas, baqi hawas. Huzoor Qalandar Baba Aulia ki nazar karam ka Faiz un ke oopar itna muheet huwa aur is buzurag hasti ne itna Riaz kya ke ab woh Silsila Azeemia mein aik azeem maqam par Faiz hain .

Topics


Tazkira Qalandar Baba Aulia R.A

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Aisa ensaan jis ke deedaa aitbaar aur chasham haqeeqat ke samnay har shye ki shayeeyat utth gayi ho aur woh muratib wujood ko samajh kar un mein urooj karta rahay, yahan taq ke aalam takveen se baala qadam rakhay aur maqam wahdaniyat ke mushahiday mein ghark reh kar ahadiyat ki tafseel mein ain wahdat ka jamal mushahida karkay maqam wahdat ki masti aur be kaify mein gum rehtay hue martaba ahadiyat par wapas aajay. Is ke baad apne Muratib se judda hue baghair ahadiyat ke mushahiday mein mehv rahay. Phir insani martabay par poanch kar abodit ka maqam haasil kere, yahan taq ke is ka urooj o nuzool aik hojaye. Juzw mein kul aur kul mein juzw ko dekhe. Phir un tamam se mustaghni hokar herat Mahmooda yani suroor mein rahay to is ko “Qalandar” kehte hain .