Topics
ma
baad nafsiyataur nafsiat mein bunyadi farq yeh hai ke nafsiat daan yeh samajte
hue bhi ke inhen maloom hai ke shaoor aur hawaas ka mukhzan aur formula kya
hai, hawaas ko tasleem karte hain aur yeh samjhna aisa hi hai jaisay do saal ka
bacha maa baap ke kahe hue alfaaz dohra deta hai. Ma baad nafsiyataur is se
mulhiqa sab aloom is baat ki nishaan dahi karte hain ke hawaas agar hain to un
ki haqeeqat kya hai. zamaniyat makaniyat ki mojoodgi agar hai to is ka shaoor o hawaas se kya
talluq hai aur fi al waqea un ka source ( zareya ) kya hai .
Tazkira Qalandar Baba Aulia R.A
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Aisa
ensaan jis ke deedaa aitbaar aur chasham haqeeqat ke samnay har shye ki shayeeyat
utth gayi ho aur woh muratib wujood ko samajh kar un mein urooj karta rahay,
yahan taq ke aalam takveen se baala qadam rakhay aur maqam wahdaniyat ke
mushahiday mein ghark reh kar ahadiyat ki tafseel mein ain wahdat ka jamal
mushahida karkay maqam wahdat ki masti aur be kaify mein gum rehtay hue martaba
ahadiyat par wapas aajay. Is ke baad apne Muratib se judda hue baghair ahadiyat
ke mushahiday mein mehv rahay. Phir insani martabay par poanch kar abodit ka
maqam haasil kere, yahan taq ke is ka urooj o nuzool aik hojaye. Juzw mein kul
aur kul mein juzw ko dekhe. Phir un tamam se mustaghni hokar herat Mahmooda
yani suroor mein rahay to is ko “Qalandar” kehte hain .