Topics
Barkha
ruut thi. Samaa bhega huwa tha. Bijli chamak rahi thi. Aasman abr alood tha. Barish
baras rahi thi. Bahar yeh khoob soorat manzar tha aur kamray mein takhleeqi
farmolon par guftagu ho rahee thi. Douran
guftagu sachey motiyon ka tazkara agaya. Is ghulam ko huzoor Baba Sahib ke
mizaaj mein bohat dakhal tha. Mein ne arz kya.' ' huzoor! Barish ka aik qatra
jab seep ke pait mein nasho o numa paata hai to moti ban jata hai.' ' yeh arz
karne ke baad mein bahar nikla aur aik ktore mein barish ka pani jama karkay le
aaya. Huzoor Baba Sahib ne dropper ka pani uthaya aur is ke oopar apni nigah
markooz kar di. Ab droper mein se jitne qatray giray woh sab sachey moti they .
Mein ne un motiyon ko surmey ke sath pees liya
jitne logon ne bhi yeh surma istemaal kya, un ki nazar ko na qabil bayan faida
pouncha .
Tazkira Qalandar Baba Aulia R.A
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Aisa
ensaan jis ke deedaa aitbaar aur chasham haqeeqat ke samnay har shye ki shayeeyat
utth gayi ho aur woh muratib wujood ko samajh kar un mein urooj karta rahay,
yahan taq ke aalam takveen se baala qadam rakhay aur maqam wahdaniyat ke
mushahiday mein ghark reh kar ahadiyat ki tafseel mein ain wahdat ka jamal
mushahida karkay maqam wahdat ki masti aur be kaify mein gum rehtay hue martaba
ahadiyat par wapas aajay. Is ke baad apne Muratib se judda hue baghair ahadiyat
ke mushahiday mein mehv rahay. Phir insani martabay par poanch kar abodit ka
maqam haasil kere, yahan taq ke is ka urooj o nuzool aik hojaye. Juzw mein kul
aur kul mein juzw ko dekhe. Phir un tamam se mustaghni hokar herat Mahmooda
yani suroor mein rahay to is ko “Qalandar” kehte hain .