Topics
Jild
ke teen parat hotay hain. Aur her jild ke neechay do part hotay hain. Aik nihayat
naazuk aur aik dabeez naazuk parat ke mutasir ho jane se
moti jhara waghera ke amraaz hotay hain. Aur dabeez parat ke mutasir honay se
phoray, phinsiyan, daad, chanbal waghera ho jatay hain.
Barqi ro teen terhan ki hoti hain. Un mein aik ro
jild ke pehlay aur doosre hissa ko qatayee mutasir nahi karti. Doosri ro sirf
doosri parat ko mutasir karti hai pehli parat par assar nahi daalti. Teesri ro
sirf pehli parat per asar daalti hai. Isi munasbat se marz mein shiddat ya
kammi waqay hoti hai yeh wazeh rahay ke barqi ro kay taassur se paida hone
walay yeh amraaz urh kar lagtay hain.
Jab Sooraj ki roshni ke zareya barqi ro jitni ke jism par parni chahiye. Itni nahi
padtee balkay es mein zayaddati ho jati hai tu jild ki teesri parat se jildi
amraaz shuru hotay hain. Maslan chechak waghera.
Agar kammi aitdaal ke sath hoti hai to amraaz, jild ki doosri parat se shuru
hotay hain jaisay khasra waghera.
Agar dhoop jism taq kam miqdaar mein pohanchi
hai to jism ki pehli parat se jildi amraaz shuru hotay hain jaisay moti, jhara
waghera.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah e Rahmana er
raheem
اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ
Allah o Noor us samawat
o wal arz
ALLA
ROSHANI HAI
Aasmano aur Zameen ki
|
|
Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki
Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani
hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-