Topics

Ghair Mutawazan Barqi Ro Say Joron Par Waram Aa Jata Hai.

Khoon ke andar barqi ro jab taq mutawazan rehti hai aadmi sayhat mand rehta hai. Kisi wajah se agar yeh ro ghair mutawazan ho jaye to woh pathay jo joron ko sambhaaltey hain Un ke andar koi nah koi miqdaar ghatt jati hai ya barh jati hai yeh miqdaar chiknaiyon ki hoti hai. Agar chiknai barh jaye to joron per varm aa jata hai aur agar chiknai kam hojaye tu harkat karne mein bohat takleef hoti hai aur pathay khushk hotay chalay jatay hain yahan taq ke aadmi chalne phirnay ke qabil nahi rehta.

Topics


Rang O Roshani Se Ellaj

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah e Rahmana er raheem

اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ

Allah o Noor us samawat o wal arz



ALLA ROSHANI HAI

Aasmano aur Zameen ki

وَمَاذَرَالَکُم فِی الْاَرْضِ مُخْتَلِفًا اَلْوَانُه اِنَّ فِیْ ذٰلِکَ لَآيةً لِقَومٍ يَّذَّکَّرُوْن

Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-