Topics

Korh Jazam

Es marz ke ilaaj mein chay saat mah darkaar hotay hain. Albata faida aik daidh mah baad bhi zahir hona shuru ho jata hai. Es ke liye naranji rang ke pani ki do khorakein, aik subah aik shaam penny chahiye. Es se hafta ashra mein mareez ko dast anay lagtay hain aur kharab madah rafta rafta kharij ho jata hai. Agar daston ki zayad-dti ho jaye to khoraak bajaye do ke aik kar dena chahiye. Douran ilaaj chawal, doodh, machhli, anda, har qisam ke gosht, gur, tail aur namak qatee tour par tark kar dein.

Topics


Rang O Roshani Se Ellaj

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah e Rahmana er raheem

اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ

Allah o Noor us samawat o wal arz



ALLA ROSHANI HAI

Aasmano aur Zameen ki

وَمَاذَرَالَکُم فِی الْاَرْضِ مُخْتَلِفًا اَلْوَانُه اِنَّ فِیْ ذٰلِکَ لَآيةً لِقَومٍ يَّذَّکَّرُوْن

Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-