Topics
“Tilli”
ka aik khaas kaam hai. Woh yeh hai ke khoon mein jitne zahreeley maaddey paida
hote hain Un sab ko jazb karti hai aur yahan taq un ki noiyat badal deti hai ke
inhen khushk kar deti hai. Tilli ki kharabiyan barqi ro ki kammi se hoti hain.
“ Pittah ” ab hum pittah ka zikar karte hain. Barqi ro ki kami jism mein
do terhan ki hoti hai. Aik ki kami se tilli mutasir hoti hai aur kharab ho jati
hai aur doosri ki kami se pitaa mutasir hota hai. Pittah halaank bohat
mukhtasir hota hai lekin khoon ke douran mein jo aik khaas kisam ka zeher es ke
andar se hokar guzarta hai es ko jazb karkay khushk kar daita hai es zeher ke
jazb aur khushk honay ka aik khaas tareeqa hai woh yeh ke aik khaas barqi ro
peda hoti rehti hai aur es ko jalatii rehti hai.
“ Gurda ” tamam khoon jo jism ke kisi bhi hissa se guzarta hai. Gurdon mein
jata hai, gurday es ka tawazun barqarar rakhtey hain. Maslan gurday shukar
toltey hain agar shakar ziyada hai to usay masana mein pheink dete hain aur bohat
si rutubatein aisi hain ke jo gurdon mein toli jati hain. Ziyada miqdaar masana
mein chali jati hai aur jo sahih miqdaar hai woh khoon mein gardish karti rehti
hai. Bil aakhir en fasid maadon se masana bhar jata hai aur yeh fasid maadde paishaab
ke zareya kharij ho jatay hain.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah e Rahmana er
raheem
اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ
Allah o Noor us samawat
o wal arz
ALLA
ROSHANI HAI
Aasmano aur Zameen ki
|
|
Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki
Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani
hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-