Topics

Cancer Kyun Hota Hai

Cancer khoon ko muzarrat pohanchata hai woh es terhan ke khoon mein barqi ro jin jin hisson se bach kar nikal jati hai un hisson mein jaan nahi rehti aur sath hi sath un hi hisson mein bohat bareek goal keeray ban jatay hain. Yeh keera dar asal sorakh hota hai. es sorakh ki khoraak barqi ro hoti hai. Woh barqi ro jo zindagi ke masraf mein aani chahiye thi woh un sorakhon ki khoraak ban jati hai. Nateeja mein khoraak ka aik chhootey se chhota zarraa bajaye faiday ke khoon ko nuqsaan pohnchata hai. es ka ilaaj yeh hai ke gaynday ke chhootey phool ki chaar pattian subah nehar moonhkha lee jayen. Aur es ke adhay ghantay baad taq koi cheez istemaal nah ki jaye.


Note : Cancer aik aisa marz hai jo bakhtyar hai, suntan hai, hawaas rakhta hai, agar es se dosti karli jaye aur kbhi kabhi tanhai mein ba shart e kay mareez hota ho es ki khushamad ki jaye, yeh kaha jaye ke “bhai tum bohat achay ho, bohat meharban ho, yeh aadmi bohat pareshan hai, es ko maaf kar do.” to mareez ko chor daita hai aur dost daari ka saboot daita hai.


Gaynday ka chhota phool bhi cancer ke ilaaj mein ahmiyat rakhta hai. Gaynday ke chhootey phool ki chaar patiyaan subah nehar moonhkha lee jayen aur es ke aadh ghanta baad taq koi cheez istemaal nah ki jaye. Gaynday ke chhootey phool mein woh barqi ro mojood hai jo sorakhon ki khoraak banti hai. es ki wajah se khoon mein dooor karne wali barqi ro kam se kam sorakhon ki khoraak banti hai aur kuch arsa baad gaynday ke phool mein kaam karne wali ro eski qayam maqam ban jati hai.

Topics


Rang O Roshani Se Ellaj

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah e Rahmana er raheem

اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ

Allah o Noor us samawat o wal arz



ALLA ROSHANI HAI

Aasmano aur Zameen ki

وَمَاذَرَالَکُم فِی الْاَرْضِ مُخْتَلِفًا اَلْوَانُه اِنَّ فِیْ ذٰلِکَ لَآيةً لِقَومٍ يَّذَّکَّرُوْن

Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-