Topics

Haiz

Mufeed Ghizayein:


Mahvari mein agar be qaidgi payi jaye to Ghizayein mein bhoosi ki rootti anday ki zardi, doodh, makhan, band gobi, salad, gaajar, palaak, lobia aur chakandar khana mufeed saabit hota hai.


Rs liye ke es mein hayatin E ki waafar miqdaar payi jati hai. Phalon mein a nugur ka ras bohat mufeed hai. Es ke ilawa maghaz badam, kishmish, pista, nariyal, akhrot, kishmish mila kar aur khobani mufeed hai. Niilii shu-aon mein tayar kardah alsi ka tail reerh ki haddi ke joor par jo kullho ke darmain hota hai. Subah vsham dairon mein paanch paanch minute taq halkay haath se maalish karana bohat mufeed hai.


Haiz ki kami mein agar wajah khoon ki kami hoto taaza phalon ka ras, gannay ka ras sardiyoon mein kaleji ka pani, gosht, aur kalaiji ki yakhni mufeed hai. Arq jaman, chakandar es ke ilawa moong ki daal ka pani, sarson ka saag, gaajarein, taze harey nariyal ka pani, Anannaas, jaman, saib aur shelgham ka achaar bhi mufeed saabit hota hai.
Agar haiz ki zayad-ti hoto es ke liye kachnar ki phaliyon ko bator sabzi pakaker khana faidamand hai. Deegar chaawlon ki pechh, marabba amla aur oh tamam ashya jis mein hayateen “E” aur “K”' hon, mufeed hoti hain.


Muzir Ghizayein:


Ayyaam ki be qaidgi ki soorat mein garam masalhay, thandhi aut tursh ashya se parhaiz krnachahye. Ayyaam ki kami aur rukawat mein thandhi ashya baad y aur saqeel ashya ka istemaal aur ayaam ki zayad-ti mein garam, baadi aur saqeel ashya ka istemaal Muzir hai.

Topics


Rang O Roshani Se Ellaj

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah e Rahmana er raheem

اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ

Allah o Noor us samawat o wal arz



ALLA ROSHANI HAI

Aasmano aur Zameen ki

وَمَاذَرَالَکُم فِی الْاَرْضِ مُخْتَلِفًا اَلْوَانُه اِنَّ فِیْ ذٰلِکَ لَآيةً لِقَومٍ يَّذَّکَّرُوْن

Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-