Topics
Jab
umm al dimagh mein es terhan ke kayi khalaa ban jatay hain aur kai jagah ro ka
hajhoom ho jata hai to kayi qisam ke bukhaar shuru ho jatay hain. En bukharon
ki wajah ro ke hajhoom ka achanak rang badalna hai. Rang ke achanak tabdeeli ke
amal ko YARQAAN kehte hain. Aur yeh marz mohlik hai. es ka ilaaj asaan ho jata hai
agar mareez leta rahey aur khanay mein mamnoo ashya istemaal nah kere.
Dosray number par typhoid yaani mayaari bukhaar hai. es ka waqt Moueen hai phir
bhi agar sahih ilaaj kya jaye to bohat jald afaqa ho jata hai.
Teesray number par laal bukhaar aata hai. Yeh aik so chaar se kam nahi hota. Chehra
par surkhi aa jati hai. Haath peiron mein einthan rehti hai. Be cheeni hoti
hai. Kabhi kabhi kamar se neechay ka hissa bilkul baikar ho jata hai. Mareez harkat
nahi kar sakta.
Chouthay number par gardan toar bukhaar aata hai. es mein jahan khalion ki
jagah khaali hoti hai wahan makhloot rang ki ro pani ban jati hai. es pani ko
nikaal diya jaye aur sahih ilaaj kya jaye.
Panchwain number mein kala bukhaar aata hai. es mein
mareez ka rang bilkul siyah ho jata hai. Lekin ziyada mohlik nahi hai. es ka
sahih ilaaj kya jaye to jald afaqa ho jata hai.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah e Rahmana er
raheem
اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ
Allah o Noor us samawat
o wal arz
ALLA
ROSHANI HAI
Aasmano aur Zameen ki
|
|
Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki
Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani
hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-