Topics
Aik
mariza khanazeer mein mubtala thi aur is ko halka halka bukhaar tha. Aik gilty
dayen jabray par thi aur doosri gardan par jo kafi sakht thi is mein shadeed dard
tha. Pehlay neela aur sabz pani har chaar ghanta ke baad baari baari diya gaya.
Charroz ke baad jabray wali gilty se pick kar mawaad behnay laga aur dard bhi
khatam hogaya lekin doosri gilty ko koi faida nahi howa. Taqreeban aik hafta
intzaar ke baad mein ne surkh aur sabz rang ka pani baari baari di aik hafta ke
andar andar gilty aadhi reh gayi. Dard bhi khatam hogaya. Ab teesra hafta ja
raha hai gilty baraye naam reh gayi hai. Bachi ko sardiyoon mein bhi shadeed
pyaas lagti thi woh bhi bah fazl e kkhuda theek hogayi hai. Mere tajurbah mein
yeh baat bhi aayi hai ke jis chamcha se aik rang ka pani diya jaye, is chamcha
ko saaf aur khushk kiye baghair dosray rang ka pani nahi dena chahiye. Aasmani
aur zard rang ka pani doddo ghantay ke baad dainay se bohat jald faida hota
hai. Shadeed haalat mein kuch khorakin aadh aadh ghanta ke baad bhi di ja sakti
hain. Mera tareeqa ilaaj yeh hai ke mein saaf shafaaf adhay glass pani mein
rangeen pani ke chand qatray daal daita hoon aur dosray rang ke pani ke chand
qatray dosray glass ya cheeni ke saaf pyaale mein daal daita hoon aur mareez ko
dono bartano ki chamchiyan allag allag rakhnay
ki hadaayat kar daita hoon. Yeh ahthyat rangon ke ilaaj mein zurori hai.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah e Rahmana er
raheem
اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ
Allah o Noor us samawat
o wal arz
ALLA
ROSHANI HAI
Aasmano aur Zameen ki
|
|
Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki
Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani
hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-