Topics

Tap E Diq

Tapay diq ke shuru mein surkh rang ka pani pilana aur phephron par surkh rang ki shua daalna chahiye. Bad mein subah niilii sheeshi ka pani aik tola chaar ghantay ke baad naranji rang shu’aon ka pani aik tola aur phir chaar ghantay ke baad naranji rang ki shu’aon ka pani aik tola aur phir chaar ghantay ke baad niilii sheeshi ka pani din mein teen baar dena aur pehphron par neelay rang ki shua daalna chahiye. Pehphron mein daagh hon ya pani bhar gaya ho to pani ke sath sath naranji rang ki bottle mein chaleesroz taq alsi ka tail dhoop mein rakh kar seenah aur kamar par pehphron ki jagah raat aur din mein aik aik martaba paanch paanch minute dairon mein maalish karna chahiye.


Agar mareez ko susti aur kamzori lahaq ho to aath das roz baad naranji rang ka pani dena chahiye.

Topics


Rang O Roshani Se Ellaj

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah e Rahmana er raheem

اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ

Allah o Noor us samawat o wal arz



ALLA ROSHANI HAI

Aasmano aur Zameen ki

وَمَاذَرَالَکُم فِی الْاَرْضِ مُخْتَلِفًا اَلْوَانُه اِنَّ فِیْ ذٰلِکَ لَآيةً لِقَومٍ يَّذَّکَّرُوْن

Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-