Topics

Rangon Ka Farq

Rangon ka farq bhi yahin se shuru hota hai. Halka aasmani rang bohat hi kamzor qisam ka Veham paida karta hai, Yeh veham dimaghi fiza mein tehleel hojata hai. Esterhan ke aik aik khaliye mein darjanon aasmani rang ke Partu hotay hain yeh partu allag allag taasurat rakhtay hain, Veham ki pehli ro khaas kar bohat hi kamzor hoti hai. Jab yeh ro do ya do se ziyada chay taq ho jati hain, Eswaqt zehan apne andar veham ko mehsoos karne lagta hai yeh veham itna taaqatwar hota hai ke junmbish agar nah kere aur aik jagah markooz ho jaye tu aadmi nihayat tandrost rhta hai usay koi aasabi kamzoree nahi hoti balkay es ke asaab sahih simt mein kaam karte hain. Esro ka andaza bohat hi Shaz hota hai. Agar yeh ro kisi aik zarrey par yaksi aik simt mein ya kisi aik rukh par markooz ho jaye aur thori der bhi markooz rahay to dur daraaz taq apne asraat muratab karti hai. Insaan ko es ro kay zareyey mutasir kia ja skta hai. Telipethi ka asal usool yahi hai ke vehum un cheezon ko bhi mutasir karta hai jo zee rooh nahi samjhi jatein.


Sab se pehla asar eska dimaghi asaab pr hota hai,  Yahan taq ke dimagh ke lakhoon khaliye eski chout se fanaa ho jatay hain. Ab dimaghi khaliye jo baqi rehtay hain woh umm al dimagh ke zareya spinal coward (spinal cord) mein apna tasarruf le jatay hain. Yahi woh tasarruf hai jo bareek tareen reshon mein taqseem hota hai, Estasarruf ke phelnay se hawaas bantay hain. Un mein sab se pehli hiss nigah ki hai. Aankhh ki putli par jab koi aks parta hai to woh asaab ke bareek tareen reshon mein aik sansnahat paida karta hai. Yeh aik mustaqil barqi ro hoti hai agar es ka rukh sahih hai to aadmi bilkul sehat mand hai. Agar es ka rukh sahih nahi hai to dimagh ki fiza ka rang gehra ho jata hai aur gehra hota chala ho jata hai. Yahan taq ke dimagh mein kamzoree paida ho jati hai aur asaab es rang ke pressure ko bardasht nahi kar satke. Aakhir mein yeh rang itna gehra ho jata hai ke esmein tabdeelian waqay ho jati hain. Maslan aasmani rang se neela rang ban jata hai. Darmiyan mein jo marhalay parte hain woh be assar nahi hain. Sab se pehlay marhalay ke zair assar aadmi kuch vehmy ho jata hai isi terhan yakke baad deegarey marhalay runuma hotay hain. Rang aur veham gehra ho jata hai aur veham ki quwaten barhti jati hain. Bareek tareen raishay bhi estasarruf ka assar qubool karte hain. Ab kefiyat mukhtalif asaab mein mukhtalif shakalain pida kar deti hai. Bareek asaab mein bohat halki aur maamooli tanumand asaab mein mazboot aur taaqatwar isi terhan yeh marhalay gehray neelay rang mein tabdeelian shuru kar dete hain.



Topics


Rang O Roshani Se Ellaj

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah e Rahmana er raheem

اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ

Allah o Noor us samawat o wal arz



ALLA ROSHANI HAI

Aasmano aur Zameen ki

وَمَاذَرَالَکُم فِی الْاَرْضِ مُخْتَلِفًا اَلْوَانُه اِنَّ فِیْ ذٰلِکَ لَآيةً لِقَومٍ يَّذَّکَّرُوْن

Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-