Topics
Arz Hai ke Roohani Daak ki unwaan ke tehat Roznama Huriat, mashriq,
jisarat aur milt gujrati ki wasaa’at se mujhe dukhi aur haal khawateen o hazrat
ke eik laakh se zyada khutoot mosool huwe hein. Masley ki nouiyat kuch bhi rahi
ho magar masley iztarab aur be-cheni, A’asaabi kashakash ka piker tha, Allah
Tallah ne mujhe itni himmat aur tofeeq di ke mein dansta tor per kisi bhi
chotey barey ahem geir ahem masley se sirf nazr nahi kia. es ke choti se choti
baat bhi kisi eik fard ke liye baaz auqaat masley ban jati hai. Qudrat ka ye
bohot bara inaam hai ke pareshaan haal insaano ke liye merey mashwarey
sukoon-e-qalb aur rahat-e-jism o jaan qaraar diye gaye. Merey qalb mein ye
khayal utaara ke mein koi aisi kitaab tarteeb doon jo awaam-ul-naas ke liye
mufeed ho. Jab eik hee khayal per tawajah marqooz hojaye tu muzahir aati surat ka
jalwahgar jati hai hai. Meri yeh koshish rang-o-roshini sy ilaaj. Kitaabi surat
mein aap ke saamney hai. Allah Tallah ki zaat sy yaqeen hai ke ye kitaab us ke
makhlooq ke liye khidmat ka zarya banega aur sirwarkaan-o-makaan, Rehmat Al
Aalameen, Syedna Hazoor (A.S) ke waseeley sy baargah-e-rab-ulizzat mein sharf
qabooliyaat se sarfaraz ki jayegi.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah e Rahmana er
raheem
اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ
Allah o Noor us samawat
o wal arz
ALLA
ROSHANI HAI
Aasmano aur Zameen ki
|
|
Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki
Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani
hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-