Topics

Neelam

Neelam nihayat saaf aur shafaaf rang ka hota hai. Bohat khobsorat aur chamakdar neelay rang ka pathar hota hai. Is ki behtareen qisam srilanka mein millti hai. Baaz hazraat surkhi mael neelam ko laal , sabzi mael neelam ko zabar judda aur banafshee neelam ko sangmaro kehtey hain.Yeh nihayat khatarnaak pathar hai. Is ka pahannay wala qatal bhi ho jata hai aur bhkari ban jata hai. Lekin is ke bar khilaaf yeh bhi dekha gaya hai ke is ka pahannay wala nihayat moaziz aur dolatmand ho jata hai .


Surkhi mael neelam mein roshni ki laharen hoti hain aur woh nazar bhi aati hain. Yeh neelam khatar naak hota is ko nahi pehan’na chahiye.


Jis neelam ko zabar jadd kehte hain aur iss mein sabzi ke shade hotay hain woh neelam baais barket hai. Is ke pahannay walay ko allah izat daita hai aur ghaib se is ki madad hoti hai. Es liye is shakhs ke ird gird doulat jama hojati hai. Is neelam ko pahannay wala dard gird hay aur ki pathri se mehfooz rhtahe. Arq alnisaa se agar mutasir hai to is ka assar ho jata hai.


Agar reerh ki haddi koi kamzoree hai to woh rafa hojati hai aur sath sath masana ko qowat ditahe. Is ka pahannay wala aadhi seesi ke dard mein mubtala nahi hota.


Banafshi neelam, jis ko sang mrw kehte hain aur js mein banafshi rang ka shade hota hai woh bhi bohat khatarnaak hai. Aadmi ko beemar aur buhkari bana daita hai. Gardan ke amraaz peda karta hai. Faalij ka baais bntahe. Aksar aisay aadmi ki jis ne yeh pathar pehna ho tangen maari jati hain. Es se dorhi rehna chahiye. Zabarjad ke rang ka koi nagina bhi unhi fawaid ka haamil hai jin ka haamil khud zabarjad hota hai.

Topics


Rang O Roshani Se Ellaj

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah e Rahmana er raheem

اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ

Allah o Noor us samawat o wal arz



ALLA ROSHANI HAI

Aasmano aur Zameen ki

وَمَاذَرَالَکُم فِی الْاَرْضِ مُخْتَلِفًا اَلْوَانُه اِنَّ فِیْ ذٰلِکَ لَآيةً لِقَومٍ يَّذَّکَّرُوْن

Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-