Topics
Chechak
nikaltay nikaltay ruk gayi ho ya nikal kar baith gayi ho to surkh rang ka pani
bohat mufeed hai. Aik do hi khoraak pilanay se ubhar aati hai. Agar surkh rang
ki shu’ayen teen minute taq shuru mein jism par daali jayen to chechak ke danay
bohat jald nikal kar bhar jatay hain. Chechak ke bharpoor nikal anay ke baad
surkh rang ka istemaal bilkul nahi karna chahye balkay jis waqt daano mein
mawaad par jaye aur mawaad behnay lagey sail khari ka sufoof un par chirakna
chahiye aur aasmani ya neelay rang ka pani aik aik oons subah shaam pilana
chahiye aur neelay rang ki shua teen chaar minute taq rozana jism par daaltay
rehna chahiye. esse tamam garmi aur sozish rafa ho kar zakham achay ho jatay hain.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah e Rahmana er
raheem
اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ
Allah o Noor us samawat
o wal arz
ALLA
ROSHANI HAI
Aasmano aur Zameen ki
|
|
Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki
Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani
hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-