Topics
Dublay
putlaay jism walon ko jism mein surkh rang ki, farba aur motey jism walon ko
jism mein neelay rang ki zayad’dti se bad hazmi hua karti hai. Surkh rang ki zayad’dti
ke liye zard rang aik aik oons din mein do baar piinaa chahiye esse maida ki
kharaash aur jalan rafa ho kar qowat e haazma bahaal ho jati hai. Agar yeh
shikayat purani ho to ilaaj do aik mah taq jari rakhna chahiye.
Neelay rang ki zayad’dti ki bina hamza par bad hazmi, bohat baithy rehne aur
werzish nah karne walon ko hoti hai. es ka ilaaj bhi zard rang ka pani hai jo isi
terhan din mein dobaar dena chahiye aur ilaaj aik yaa do taq jari rakhna
chahiye. Albata sahet ke assaar aik hafta ke baad hi zahir honay lagtay hain.
Har qisam ki bad hazmi mein rangeen pani khana khanay ke baad piinaa chahiye
aur ghiza halki aur zood hazm khana chahiye. Agar bad hazmi mein matli ya qay
ho to aasmani rang ka pani aik aik tola adhay ghantay ke baad piinaa chahiye.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah e Rahmana er
raheem
اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ
Allah o Noor us samawat
o wal arz
ALLA
ROSHANI HAI
Aasmano aur Zameen ki
|
|
Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki
Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani
hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-