Topics
ensaan nay ab taq rang ki
taqreeban saath kismain maloom ki hain, un mein bohat taiz nigah walay hi
imtiaz kar satke hain, jis cheez ko es ki nigah mehsoos karti hai, es ko rang,
roshni, jawahraat aur aakhir mein kam o baish pani se taabeer karta hai.
Esbaat se qata nazar ke aasmani rang kiya hai? kis terhan bana hai? aaya woh
sirf khayaali hai ya koyi haqeeqat hai. Bahar kaif ensaan ki nigah usay mehsoos
karti hai aur usay jo naam deti hai woh aasmani hai.
Jab fiza gard o guhbaar se bilkul pak hoti hai to aasmani rang ki
shu’ayen apne maqam ke aitbaar se rang badalti hain. Maqam se morad woh fiza
hai jis ko insaan bulandi, pasti, wusat aur zameen se qurbat ya doori ka naam
dita he, yehi halaat aasmani rang ko halka, gehra aur ziyada gehra, ziyada
halka yahan tak ke mukhtalif rangon mein tabdeel kar dete hain.
Hud e nigah se zameen ki taraf aayye to aap ko neelay rang ki la
tadaad rangeen shu’ayen milein gi, yahan es lafz rang ko “qism” kaha ja sakta
hai. Darasal qism hi woh cheez hai jo hamari nigahon mein rang kehlati hai,
yani rang ki kIsmain, sirf rang nahi balkay rang ke sath fiza mein aur bohat si
cheez mili hui hoti hain woh es mein tabdeeli pidakr deti hain, isi cheez ko“qism”
ke naam se bayan karna hamara manshaa hai.
Rang ka jo manzar hamein nazar aata he es mein roshni, oxygen gas, nitrogen gas
aur qadray deegar gasein ( gases) bhi shaamil hoti hain. En gasson ke ilawa
kuch saaye (shades) bhi hotay hain jo halkay hotey hain ya dabeez, kuch aur bhi
ajzaa isi terhan aasmani rang mein shaamil ho jatay hain. En hi ajzaa ko hum
mukhtalif kismain kehte hain. ya mukhtalif rangon ka naam dete hain lekin hamein
yeh nahi bhoolna chahiye ke en mein halkay aur dabeez saayon ko barri ahmiyat
haasil hai.
Jis fiza se hamein rang ka farq nazar aata, es fiza mein nigah aur
had e nigah ke darmain bawajood mutala saaf honay ke bohat kuch mojood hota
hai.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah e Rahmana er
raheem
اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ
Allah o Noor us samawat
o wal arz
ALLA
ROSHANI HAI
Aasmano aur Zameen ki
|
|
Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki
Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani
hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-