Topics
Jawani
ki umar main baal motay aur bad mein nisbatan putlaay ho jatay hain. Baal aik
hadd taq bherne ke baad ruk jatay hain aur kuch arsay ke baad jher jaatey hain.
Baal ki Umar kam vbish chaar saal hoti hai aur apni Umar poori karne ke baad
khud-bakhud gir jata hai. Kanghi karne mein chand baal gir jatay hain toyh koi
tashweesh ki baat nahi hai lekin agar kanghi karte hain lambay balon ke sath
chhootey baal bhi nikal ayen to es koi nah koi aisa sabab zaroor mojod_he jis
ko bemari kanam diya jasktahe. Balon ke girnay mein umooman pehli alamat
khushki hoti hai.
Sar ki jald mein khushki naaqis ghiza’on ke istemaal, neez khushbodar ghair
khalis tail, sir dhoney mein sabun ka istemaal, khanay mein
namkeen aur chat patti cheezon mein be etdaali ki wajah se hoti hai.
Balon ke qabal az-waqat safedi ke asbaab mein khandani ya moroosi asbaab bhi
khaas tour par ahem hain. Mutawatar dimaghi sadmaat se bhi baal safaid ho jatay
hain. Tareekh mein aisay waqeat bhi mlitay hain ke kisi shadeed haadsay ki
binaa par sirf aik raat mein sirkay baal bilkul safaid ho gaye hain.
Un tamam wajohaat mein se koi bhi wajah ho. Es ke liye aasmani rang aur shua’on
ka istemaal azbas mufeed hai. Sir dhoney mein aasmani rang ka pani aur sir mein
laganay ke liye aasmani rang ki shu’aon ka tail baqaidagi ke sath istemaal karna
chahiye. Tilon ke khalis tail ko aasmani rang ki sheeshi mein es terhan bhar
kar ke sheeshi ka oopri hissa aik chothai khaali rahay. Mazboot kark lagaa kar aik
mah taq dhoop mein rakhen aur tail raat ko sonay se pehlay khoob achi terhan
sir mein jazb karein.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah e Rahmana er
raheem
اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ
Allah o Noor us samawat
o wal arz
ALLA
ROSHANI HAI
Aasmano aur Zameen ki
|
|
Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki
Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani
hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-