Topics
Afsurdah
dilli aur har waqt ranj o ghm mein mubtala rehna. es ke liye surkh rang bohat
mufeed hai kyunkay es se shujaiat aur mardangi peda hoti hai. Neez naranji rang
bhi jis se dil ki pareeshani door ho kar sukoon milta hai, istemaal kiya jata
hai. Aisay mareezon ko ziyada ter lal rang ke kapray pahannay chahiye. Sonay ke
kamray mein parday bhi surkh hon. Albata palang ki chaadrein, takiya ke ghilaaf
naranji rang ke honay chahiye. Aur aik choti si tokri mein naarangiyan bhrke
kamray mein rakh le jayen aur rozana naarangiyon par chand minute nigah ko
markooz rakha jaye. Agar es ke sath sath subah saweray uthte hi aik barray
aaiine ke samnay tan kar kharray hokar apne saraapaa par tik tiki bandh kar
dekha jaye aur do teen minute taq aahista aahista dil mein yeh alfaaz duhraey
jayen. “ har cheez dilfaraib aur khushgawar hai mein kisi se kam tar nahin hon,
jo chahoon kar sakti hoon. “yeh amal karne ke baad chand minute taq kamray mein
chehal qadmi ki jaye aur phir aaiine ke samnay kharray hokar wohi amal dohraya
jaye, es terhan yeh amal rozana teen dafaa kya jaye to das pandrah roz mein
tamam shikaytein rafa ho jayen geen.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Bismillah e Rahmana er
raheem
اَﷲُ نُورُالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ
Allah o Noor us samawat
o wal arz
ALLA
ROSHANI HAI
Aasmano aur Zameen ki
|
|
Aur Yeh Jo Bohat si Rang Birang ki
Cheezein esney tumharey liye zameen mein paida kar rakhee hain, en mein nishani
hai un logon ke liye jo samajh boojh se kaam lete hain-