Topics

Sajda Sahoo

Namaz mein jo baatein wajib hain un mein se agar aik ya kayi wajib bhool se reh jayen to sajda saho karna wajib hai. Sajda saho karne se namaz durust ho jati hai. Agar sajda saho nahi kya to namaz dobarah ada ki jaye gi . Sajda saho karne ka tareeqa yeh hai ke aakhri rakat ke qaadey mein atahiyat ke baad aik taraf salam phair kar do sjday kiye jayen. Phir baithy hi baithy atahiyat, duroood shareef aur dua parh kar dono taraf salam phair diya jaye .

Topics


ROOHANI NAMAZ Roman Urdu

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah Erehman Er Rahim

رَبِّ اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ


Ae mere parvardigaar !

Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .


اَلصَّلٰوۃُ مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ

Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai

Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah taala ka Urfan haasil ho jata hai .