Topics

Jinsi Amraaz

Dono sajdon ke darmain baithna ( jalsa ) ghutnon aur pindliyon ko mazboot banata hai. Is ke ilawa ranon mein jo pathay Allah taala ne nasal kashi ke liye banaye hain un ko aik khaas qowat ataa karta hai jis se mardana aur zanana kmzoryan daur ho jati hain taa ke ensaan ki naslen dimaghi aur jismani aitbaar se sayhat mand peda hon .

Topics


ROOHANI NAMAZ Roman Urdu

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah Erehman Er Rahim

رَبِّ اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ


Ae mere parvardigaar !

Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .


اَلصَّلٰوۃُ مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ

Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai

Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah taala ka Urfan haasil ho jata hai .