Topics

Gussa Ke Waqt

Allah taala ne gussa ko napasand farmaya hai, irshad hai :

" aur jo log gussa khatay hain aur logon ko maaf kar dete hain, Allah aisay ahsaan karne walay bundon se mohabbat karta hai . Bah nazar Ghair dekha jaye to yeh baat samnay aati hai ke gussa karne se khud gussa karne walay aadmi ko hi nuqsaan pohanchana hai. Gussa ke aalam mein douran khoon taiz ho jata hai. Woh laharen jo aadmi ki sahet ke liye zurori hain muntashir ho kar zaya ho jati hain. Gussa mein aadmi ke hawaas kharab ho jatay hain aur is se aisi harkat sarzad ho sakti hai jis par usay saari Umar pachtaana parta hai. Is burii aadat se mehfooz rehne ke liye Ya rauf یَا رَؤُفُ  ka vird ajeeb o ghareeb taseer rakhta hai. Baad namaz-e esha awwal o aakhir gayarah gayarah martaba duroood shareef ke sath Ya rauf یَا رَؤُفُ parhnay se mohabbat o gudaaz peda hota hai. Allah ki saari makhlooq apne behan bhaiyon, maa baap ya aulaad ki terhan nazar aati hai aur doosri sanaf makhlooq bhi aisay shakhs ko Aziz rakhti hai .

Topics


ROOHANI NAMAZ Roman Urdu

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah Erehman Er Rahim

رَبِّ اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ


Ae mere parvardigaar !

Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .


اَلصَّلٰوۃُ مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ

Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai

Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah taala ka Urfan haasil ho jata hai .