Topics

Hazrat umar ki namaz

Hazrat umar qiyam salaat mein itnay zor se rotay they ke ronay ki aawaz pichli saf taq pahunchti thi. Farooq Azam Fajar ki namaz ki imamat farma rahay hain. Sahaba karaam saf Dur saf eistaada hain. Dafatan aik Azli shaqi aur badbakht khanjar haath mein liye hue agay barhta hai aur khalifa sani ke shikam mubarak ko chaak kar deta hai. Umar Farooq ghash kha kar gir parte hain. Khoon ka fawara ubal parta hai. Is holnaak manzar mein bhi safen apni jagah qaim rehti hain. Hazrat Abdul Rehman ban auf agay barhatay hain aur imamat ke faraiz poooray karte hain. dogana namaz poori honay ke baad khalifa waqt ko uthaya jata hai .

Topics


ROOHANI NAMAZ Roman Urdu

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah Erehman Er Rahim

رَبِّ اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ


Ae mere parvardigaar !

Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .


اَلصَّلٰوۃُ مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ

Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai

Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah taala ka Urfan haasil ho jata hai .