Topics

Hasb Mansha Shadi

Aaj kal larkiyon ki shadi ka masla maa baap ke liye pareshani ka sabab bana huwa hai. Ghar ghar shadi ke intzaar mein larkiyan boorhi ho rahi hain. Allah taala apne hifz o Amaan mein rakhay. Maa baap ki raton ki neend haraam ho gayi hai. Is ghambeer masla ke hal ke liye یَا لَطِیْفُ  ka amal nihayat mujrib hai. یَا لَطِیْفُ ke adaad ۱۲۹ hain aur ۱۶۶۴۱ martaba naam parha jata hai. Parhnay ka aasaan tareeqa yeh hai :
aik tasbeeh mein
۱۲۹ danay daaley jayen aur ۱۲۹ martaba tasbeeh parhi jaye. Aur har tasbeeh ke baad لَاْتُدْرِکُہُ الْاَبْصَارُ وَ ھُوَیُدْرِکَ الْاَبْصَارَ وَ ھُوَ اللَّطِیْفُ teen dafaa parh kar zabaan se maqsad bayan kere aur phir یَا لَطِیْفُ ki tasbeeh parhna shuru kar day. Isi terhan sara amal khatam kya jaye. Magar amal poora karne mein bohat ziyada hoshyari ki zaroorat hai. Agar kabhi zayad-ti ho jaye to taseer baqi nahi rahay gi .



Topics


ROOHANI NAMAZ Roman Urdu

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah Erehman Er Rahim

رَبِّ اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ


Ae mere parvardigaar !

Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .


اَلصَّلٰوۃُ مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ

Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai

Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah taala ka Urfan haasil ho jata hai .