Topics

Hazrat Husn Ki Namaz

Hazrat Husn ne farmaya ke namazi ke liye teen khusoosi aztin hain :

Pehli yeh ke jab woh namaz ke liye khara hota hai to is ke sir se aasman taq rehmat Ellahi ghata ban jati hai aur is ke oopar Anwaar barish ki terhan baraste hain .

Doosri yeh ke farishtay is ke charon taraf jama ho jatay hain aur is ko apne ghairay mein le letay hain. Aur teesri baat yeh ke aik farishta pukaarta hai ke ae namazi agar to dekh le ke tairay samnay kon hai aur to kis se baat kar raha hai to kkhuda ki qisam to qayamat taq salam nah phairay .

Topics


ROOHANI NAMAZ Roman

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah Erehman Er Rahim

رَبِّ اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ


Ae mere parvardigaar !

Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .


اَلصَّلٰوۃُ مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ

Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai

Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah taala ka Urfan haasil ho jata hai .