Topics

Namaz ki Rohani Gharz o Ghayat

Hazrat Ibn umar se rivayet hai ke aik raat jab Aap S.A.Wasalam aitekaf mein baithy they to Aap S.A.Wasalam ne farmaya :

“ Logo! Namazi jab namaz mein mashgool hota hai to apne rab se sargoshi karta hai, is ko janna chahiye ke woh kya arz marooz kar raha hai.”

Topics


ROOHANI NAMAZ Roman Urdu

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah Erehman Er Rahim

رَبِّ اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ


Ae mere parvardigaar !

Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .


اَلصَّلٰوۃُ مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ

Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai

Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah taala ka Urfan haasil ho jata hai .