Topics

Rizaq Mein Farawani

Allah taala ne quran pak mein irshad farmaya :

'' ae aal e dawod shukar ko apna shoaar bana lau ke shukar karne walay bande qaleel hain.”
یَا شَکُوْرُ ka tarjuma. .. .. . Ae qadar daan nihayat qader karne walay .

Is mubarak naam ki khasiyat yeh hai ke jo shakhs is naam ko sonay se pehlay iktalees ( ۴۱ ) martaba ya so ( ۱۰۰ ) martaba parhta hai woh Allah taala ka shukar guzaar bandah ban jata hai aur jab koi bandah shukar ko apna shoaar bana laita hai to is ke wasail mein farawani aur rizaq mein barket hoti hai .

Topics


ROOHANI NAMAZ Roman Urdu

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah Erehman Er Rahim

رَبِّ اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ


Ae mere parvardigaar !

Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .


اَلصَّلٰوۃُ مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ

Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai

Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah taala ka Urfan haasil ho jata hai .