Topics

Ghar Mein Kher O Barket

Bawazo یابدیْع  parhte parhte so jayen to sachey khawab nazar atay hain aur mustaqbil mein paish anay walay halaat o waqeat ka ilm ho jata hai. Yahi ism agar so martaba esha ki namaz ke baad parha jaye to gham aur pareshani se nijaat mil jati hai. Kaarobar muaash mein rakawaten darpaish hon to woh khatam ho jati hain. Ghar mein kher o barket hoti hai. Ghar ke afraad aapas mein sher o shukar ban kar zindagi guzartay hain . Zameen banjar ho ya same aur thoar ke zair assar ho ya zameen bzahir theek ho lekin zameen ke andar beej ki sahih nashonuma nah hoti ho to das sair chikni matti par gayarah so martaba Ya baqio یَا بَاقِیُ parh kar dam karen aur yeh matti saaray khait mein bekhair den .

Ya Wariso یَا وَارِثُ bakasrat parhnay se Umar mein izafah, dil mein Farhat aur suroor peda hota hai .

Topics


ROOHANI NAMAZ Roman Urdu

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah Erehman Er Rahim

رَبِّ اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ


Ae mere parvardigaar !

Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .


اَلصَّلٰوۃُ مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ

Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai

Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah taala ka Urfan haasil ho jata hai .