Topics

Sadqa Fittar Ka Bayan

Allah taala ne apne bundon par ramadaan ke rozay poooray honay ki khusi mein shukar ke tor par sadqa fittar muqarrar farmaya hai. Sadqa fittar har musalman sahib nisaab par wajib hai. Jo nisaab zakat ka hai wohi is ka hai. Dono mein farq yeh hai ke zakat wajib honay ke liye chandi, sona ya maal tijarat hona aur is par aik saal guzarna shart hai aur sadqa fittar ada karne ke liye itna kaafi hai ke zurori samaan ke ilawa kisi shakhs ke paas itna maal ho jis par zakat wajib hoti hai. Maal par saal poora hona zurori nahi. Munasib yeh hai ke sadqa fittar eid ki namaz se pehlay ada kar diya jaye. Sadqa fittar pauney do sair gheehon ya is ke masawi kilo gram ya is ki qeemat dainay se ada ho jaye ga. Gheehon ke narkh chunkay kam o besh hotay rehtay hain is liye sadqa fittar ada karne se pehlay bazaar mein narkh maloom kar lena chahiye. Sadqa fittar ke mustahiq wohi log hain jo zakat ke mustahiq hon .

Topics


ROOHANI NAMAZ Roman Urdu

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah Erehman Er Rahim

رَبِّ اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ


Ae mere parvardigaar !

Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .


اَلصَّلٰوۃُ مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ

Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai

Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah taala ka Urfan haasil ho jata hai .