Topics

Namaz Aur Aatish Parast

Namaz parhnay aur qaim karne mein bohat farq hai. Quran kareem mein parhnay ke alfaaz bhi hain :

“ Ae ( Muhammad  S.A.Wasalam! Jo kapray mein lapat rahay ho, raat ko qiyam kya karo magar thori si raat yani nisf raat ya is se kuch kam ya kuch ziyada aur quran ko thehr thehr kar parha karo.” ( surah muzammil )

Farsi zabaan ka aik lafz hai “ Namaz Khwandan” yani namaz parhna. Yeh lafz aatish paraston ke yahan raaij hai. Jab woh apni kitaab “ Randwasta ” parh kar aag ke samnay jhukatey hain to is ko Namaz Khwandan yani namaz parhna kehte hain. Arabi se jab urdu zabaan mein tarjuma kya gaya to yeh saho huwa ke “salaat qaim karo” tarjuma “namaz parhna”  kar diya gaya. Halaank quran pak ke irshad ke mutabiq salaat ka tarjuma salaat hi hona chahiye tha jis terhan kalma tayyiba ka tarjuma kalma tayyiba hai, Allah ka tarjuma Allah hai, Rehman ka tarjuma Rehman hai, paighambar ka tarjuma paighambar hai, rasool ka tarjuma rasool hai waghera waghera. Quran pak ke irshad ke mutabiq qaim karo salaat aur urdu tarjuma ke mutabiq namaz padho ke maienay o mafhuum mein bara farq waqay ho jata hai .

Topics


ROOHANI NAMAZ Roman Urdu

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah Erehman Er Rahim

رَبِّ اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ


Ae mere parvardigaar !

Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .


اَلصَّلٰوۃُ مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ

Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai

Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah taala ka Urfan haasil ho jata hai .