Topics

Avlad E Narina

Dekha gaya hai ke baaz auqaat larkiyan ziyada hoti hain. Paanch, chay, saat larkiyon ke oopar bhi koi larka nahi hota. Aulaad narina ke liye hamal qarar panay ke baad se teen mahinay taq rozana chalees martaba یَا اَوَّلُ  parh kar maa apne pait par dam kere. Insha Allah morad poori ho gi. Paidaiesh ke baad larke ka naam Allah ke naam ke sath rakha jaye maslan abdullah, abdalavl, abdalghfar waghera .

Topics


ROOHANI NAMAZ Roman Urdu

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah Erehman Er Rahim

رَبِّ اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ


Ae mere parvardigaar !

Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .


اَلصَّلٰوۃُ مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ

Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai

Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah taala ka Urfan haasil ho jata hai .