Topics

Quran Parhnay Ke Aadaab

Tilawat quran ke waqt agar azaan ho jaye to afizal yeh hai ke talawat band kar ke ghhor se azaan suni jaye .

Bazaar aur napak jaghon par quran parhna makrooh hai .

Letey letey quran parha ja sakta hai lekin is waqt dono haath samaitt le yani haath par haath rakh le jaisay niyat mein haath bandhay jatay hain .

Aisay maqam par jahan log kamon mein mashgool hon quran Majeed buland aawaz se nah parha jaye .

Agar koi shakhs quran parh raha hai to usay salam nahi karna chahiye .

Topics


ROOHANI NAMAZ Roman Urdu

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah Erehman Er Rahim

رَبِّ اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ


Ae mere parvardigaar !

Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .


اَلصَّلٰوۃُ مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ

Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai

Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah taala ka Urfan haasil ho jata hai .