Topics

Ghaibi Inkishafaat

Tahajud ki namaz ke baad aik hazaar martaba یَا مُھَیْمِنُ parh kar muraqba karne se ghaib ki duniya samnay aa jati hai. Aur gum shuda cheezein iradah ke sath nazar ke samnay aa jati hain. Allah taala ka yeh ism teen roz taq aik hazaar aik so ( ۱۱۰۰ ) martaba parhna isstikhara hai. Allah ke fazl o karam se teen roz mein sahih baat maloom ho jati hai. Raat ko sonay se pehlay do rak-at namaz Nafil ada karen aur gayarah so martaba یَا مُھَیْمِنُ parh kar jo baat maloom karni hai is ko dil mein dohraatay dohraatay so jayen .

Topics


ROOHANI NAMAZ Roman Urdu

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah Erehman Er Rahim

رَبِّ اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ


Ae mere parvardigaar !

Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .


اَلصَّلٰوۃُ مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ

Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai

Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah taala ka Urfan haasil ho jata hai .