Topics

Mohabbat Wala Shohar

Esha ki namaz ke baad gayarah so ( ۱۱۰۰ ) martaba یَامُؤْ مِنُ  parh kar ankhen band kar ke baith jayen aur yeh tasawwur karen ke mein arsh ke saaye mein hon aur shohar neechay hai. Jab yeh tasawwur qaim ho jaye to shohar ke oopar phoonk maar den. Baat kiye baghair bistar mein chali jayen aur shohar ka tasawwur karte karte so jayen. Insha Allah khawand ki taraf se bud ikhlaqi, buraiee, zayad-ti ka izhaar nahi ho ga. Is amal ki barket se shohar biwi ka garweedah ho jata hai .

Agar kisi shohar ke sath biwi ka sulooq acha nah ho to yeh amal shohar bhi kar sakta hai, nataij dono sooraton mein aik se muratab hunge .

Topics


ROOHANI NAMAZ Roman Urdu

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Bismillah Erehman Er Rahim

رَبِّ اجْعَلْنِیْ مُقِیْمَ الصَّلٰوۃِ وَ مِنْ ذُرِّ یَّتِیْ


Ae mere parvardigaar !

Mujh ko aur meri nasal mein se logon ko namaz qaim karne wala bana .


اَلصَّلٰوۃُ مِعْراجُ الْمُؤْ مِنِیْنَ

Salaat Momnin Ki Mairaaj Hai

Mairaaj ka mafhuum hai ghaib ki duniya mein daakhil ho jana. Momin ki jab namaz ke zariye mairaaj hoti hai to is ke samnay farishtay aa jatay hain. Namazi asmano ki sair karta hai aur syedna Huzoor Aleh Salato Walslam ki rehmat se usay Allah taala ka Urfan haasil ho jata hai .