Topics
Aadam o hawa jab zameen par aaye to in main shaorr bohat kam tha, woh nahin
jaante the ke wasail ko kis tarah astemaal kia jaaye. Qanoon e qudrat ke tehat
Aadam ki nasal do se chaar, chaar se aath aur isi tarah jab hazaaron se tajawuz
kar gayi to shaoor bhi laakhon guna ho gaya. Aadam o hawa ke bachon ne jarei’n
, napukhtah phal aur kacha gosht khaane main kirhayat mehsoos ki in ke shaoor
ne rehnumai ki ke kacha gosht no khaya jaye. Gihon ke daane chabaane ke bajaye
gandum pees kar aate ki roti pakani chahiye. (Ta’reekh Tasawwuf)
Qa’noon yeh hai ke shaoor
aik ho ya hazaar hoon jab kisi nuqte par markooz ho jate hain to is ka muzahira
ho jata hai. Laakhon aadmiyon main se kisi aik aadmi ne ger ikhtiyaari tor par
do pathar uthaaye in ko aapas main takaraya, takraane se hararat peda hui to
pathron main se chingaari nikli.
Chingaari ki chamak ne ibn
e aadam ko is taraf mutawajo kia ke chingaari sookhi ghaas ko jala Dale gi aur
dekhte dekhte Aag bharak uthi.
Zameen par insaan kay eh
pehla din tha jab insaan hewanaat se mumtaaz hua aur is ne is ejaad se apne
liye khana banana shuru kar diya. Hiwanaat se mumtaaz hone ke baad insaan ke
zehn main naye naye khayalaat aate rahe aur phr ejaad ka silsila jaari ho gaya.
Aadam aur hawa ke aane se
pehle zameen mojood thi aur zameen par
jinaat abaad the. Zameen ke waaris jinaat aur aadam hain.
Jinaat ne jab zameen par khoon kharabah kia aur zameen ki
kokh ujaarne ki har tadbeer par amal kia to qudrat ne zameen ko fasaad zadah
qaraar de diya aur jinaat se zameen ki sardaari chheen kar aadam ko de di.
Lekin sitam zarifi yeh hui ke ibn e aadam ne bhi wohi kiya jo jinaat karte
chale aa rahe the. Bhai ne bhai ka qatal kar diya aur yeh silsila daraaz hota
chala gaya.
Hazrat Aadam Aleh Aslaam ne insaani muashrah ke liye
jo qawaneen waza kiye in ki olaad ne in par puri tarah amal nahin kiya. Taweel
arse ke baad Hazrat Nooh Aleh Asalaam
peda hue. Hazrat Nooh Aleh Asalaam 950
baras tak toheed ki tableeg karte rahe. Hazrat
Nooh aleh Aslaam paani ky har ghoont aur har luqme par Alhamdulillah
kehte the. 950 barson tak tableeg karne par 80 mard aur auratein emaan laaye
baaqi qom ne in ki nasihaton par amal nahin kiya. Is padaash main qom par azaab
naazil hua. Zameen ko fasaad se paak karne ke liye Aasmaan se itna paani barsa
ke zameen sumandar ban gai. Gaao’n, goth, qasbe, shehar doob gaye. Puri qom
Garaq e Aab ho gayi. Hazrat Nooh aleh
Asalaam ka beta bhi hilaak ho gaya. 80 mard aur auratein jo emaan laaye the
azaab e ilahi se bach gaye. Zameen 6
mahine tak paani main doobi rahi tufaan khatam hone par kashti “JODI”
Pahaari par tehri.
(Muhammad Rasool Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam-Jilad 3)
Emaan lane wale salaamti ke saath kashti se utre lekin in
ki nasal no chal saki. Nooh aleh Asalaam ke teen (3) bete “ Haam,Saam,Yaafs” jo
kashti main sawaar the in se Aadam ki nasal ka dobara Agaaz hua. Haam chhote
bete the. Saam manjhale aur Yaafs bare bete the. Aaj ki duniya main jahan bhi
jis rang ki bhi nasal Abaad hai woh in hi teen bhahiyon ki olaad hai.
ALLAH TA’LAH ne apni mkhlooq ki hadayat ke liye zameen ke
chape chape par haadi aur peghambar bheje jin ki ta’daad kam o besh aik laakh
chobees hazaar batayi jaati hai. Aik laakh chobees hazaar peghambron ki hayaat
tayyabah par gor kiya jaye to tam’maam peghambron ne Aadam zaad ko apni rooh se
waqif hone ki hadayat di hai. Yani maadi wajood ko sahara dene aur maadi wajood
ko qaaim rakhne wali rooh ko pehchaano. Pegambron ne bataya
hai ke rooh Allah ka amar hai. Insaan ko Allah ke ammar kai lam diya gaya hai
magar thora Ilm diya gaya hai. Lekin yeh thora Ilm lamehdood Ilm ka qleel Ilm hai.
Sumandar ke paani ka aik qatrah yani sumandar ke qaleel
ka taziya kiya jaye to is qatrah main poore sumandar ki sifaat nazar aati hain.
Peepal ke darakht ka beej khishkhaash ke daane se chhota hai. Agar peepal ke
itne chhote beej ko microscope film main dekha jaye to is nanhe se beej main
peepal ka poora darakht nazar aata hai.
Rasool Allah Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam aur
anbia e karaam aleh asalaam ki ta’leemaat hamein is taraf mutawajo karti hain
ke har insaan do rukhon se murakab hai.
Insaan ka aik rukh jismaani rukh hai aur dusra rukh ruhaani
jisam hai. Maadi jisam ki ta’reef yeh hai ke is main har lamha toot phoot hoti
rehti hai. Matti ka jisam ka jisam fana ho kar matti main tabdeel ho
jata hai. Ruhaani jisam Allah ka ammar hai. Har Maadi wajood ki harkat ruhaani
wajood ke taabe hai. Maadi wajood ruhaani wajood ke taabe ho kar harkat karta
hai. Rooh agar jismaani wajood se rishta muntaqah kar le to maadi wajood main
kisi bhi tarah ki harkat nahin hoti. Khaana peena, chalna phirna, ghum aur
khushi se mutaasir hona, shaadi biyaah is waqt hi
Mumkin hai jab rooh jism
ko sahara de. Duniya hazaaro’n saal se majood hai. Hazaaron saal ki ta’reekh
main aik bhi misaal nahin hai ke kisi murdah jism ne koi ejaad ki ho. Ya murdah ajsaam se koi aur insaani ammal sarzad hua ho.
Aasmaani kitaabo’n aur
Quran Hakeem main is baat ko wazahat se biyaan kiya gaya hai key eh duniya
aarzi duniya hai. Is duniya ke baad aik aur duniya jis main ja kar hamein amaal
ki saza ya jaza ke mutaabiq zindagi guzaarni hai. Jis tarah is tarah duniya
ke baad dusri duniya aalam aakhrat hai. Isi tarah is duniya
main aane se pehle bhi aik duniya hai. Jahan se ham aaye hain. Is duniya ka naam aalam
arwaah hai. Allah ke fartadah har nabi mukaram Aleh Aslaam ne is ammar ki
tableeg ki hai ke insaan ka sahi warsa woh Ilm hai jo Allah Ta’lah ne abu ul
bashar Hazrat aadam aleh asalaam ko khud
parhayay aur sikhaya hai.
Abu ul bashar Hazrat aadam aleh asalaam ki fazilat ka sabab bhi yehi Ilm hai. Jo jinaat ko aur farishto’n ko atta nahin kiya gaya.
Aik Ilm zaahiri hai. Dusra
baatni Ilm hai. Zaahiri Ilm ma;shiyat o muaasharat kai lam hai aur baatini Ilm
tasawwuf hai. Tasawwuf ka aagaaz is waqt hua jab Allah ta’lah ne farishto’n se
kaha “ Main zameen par apna naaib banaane wala hoon.” Aadam aleh salaam koi lam
ul asma sikhaana.
Baatini aloom ke zumrah
main aata hai. Baatini aur aasmaani aloom bani noo e aadam ke liye Hazrat aadam aleh asalaam ka wrsa hai. Is ka matlab
yeh hua ke tasawwuf ki ibtida Hazrat
aadam aleh salaam se hui aur is tarah noo e insaani main Hazrat aadam aleh salaam pehle sufi hain.
Paigambro’n ki ta’leemaat
rehnumaai karti hain ke har aigambar ne noo e insaani ko achhaai aur buraai ke
tasawur se aagaah kia hai aur khud is par ammal kar ke ba’maqsad Zindagi
guzaarne ka daras diya hai.
Paigambaro’n ki ta’leemaat
ke mutaabiq waahid zaat Allah ki parastish na ho to woh hargiz tasawwuf nahin
hai.
“Anbiyaa Aleh Aslaam batate hain ke aik Allah Wahadah La’Shareek ki
eebaadat karo. Allah Ta’lah apni makhlooq main bhai chaarah chahate hain. Apni
makhlooq ko khush dekhna chahate hain. Makhlooq ka be’sakoon rehna Allah ko
pasand nahin hai.
Allah makhlooq ko khush
dekhne ke liye makhlooq ki zaruriyaat ki kafaalat karte hain. Allah ta’lah apne
paighambro’n ke raaste par chalne ko apna raastah qaraar dete hain. Paghamro’n
ki zindagi par tafakur kiya jaaye to in main siraat e mustaqeem par qaaim
rehene aur siraat e mustaqeem par da’wat dene ka bhar poor azum hota hai.
Paighambar afu o darguzar se kaam lete hain, haq talfi no karne ki talqeen
karte hain.
Har paigambar ki
ta’leemaat ka maqsad toheed parasti hai. Yehi sab baatein paighambaraan e Aleh
salaam ki ta’leemat par ammal karne wala sufi batata hai aur is par ammal bhi
karta hai.
Quran fermata hai:
“Aur ham ne Aasmaan ko barooj se zeenat bakhshi dekhne walo’n ke liye aur
chhupa liya ham ne is khubsurat aaraaish aur zeenat ko shaitaan mardood se.”
(Surah Al-Hajar : 16-17)
Tasawwuf ka sheedaai sufi is ki tafseer is tarah biyaan karta hai jo log
aasmaan par barooj ki zeenat ko nahin dekhte ya dekhne ki koshish nahin karte
woh insaan kehlaane ke mustehq nahin. Allah ta;’lah ne har insaan ko ruhaani
silaahiyato’n se behrahwar kiya hai. Har insaan is silaahiyat ko be’daar kar ke
aasmaan par barooj ko dekh sakta hai.
Quran paak main hai :
“ Pas kharabi in namaziyo’n ke liye jo apni namaazo’n se
bekhabar hain.” ( Surah Ma’oon- Ayat : 6)
Ya’ni namaaz to woh parhte hain lekin inhain namaaz main
martabah ahesaan haasil nahin hota. Sufi kehta hai jis ko namaaz main martabah
ahesaan ya’ni hazoor e qalbi no ho is ki namaaz, namaaz nahin
Hai bal’ke is ke liye
kharabi hai. Sufi ka aqeedah hai ke agar insaaan khashoo wa khzoo ke saath
Allah ko sadaq e dil ke saath haazir o naazir jaan kar salaat qaaim kare to
isse hazoori qalab naseeb ho jaati hai.
Allah Ta’lah farmaate hain kiya in logo ne aasmaan aur
zameen ke nizaam par kabhi gor nahin kiya aur kisi cheez ko bhi jo Khuda ne
paida ki hai aankhain khol kar nahin dekha. ( Aankhain khol kar dekhne se
muraad baatini nazar se dekhna hai jo rooh ki aankh hai) aur kiya yeh bhi unhon
ne nahin socha ke shayid zindah rehne ki jo muhalat di gayi hai is ke poore
hone ka wqt qareeb aa gaya hai. Hazrat
nooh aleh salaam ka qissah hamin hadayat deta hai ko Allah qaadir
mutaliq hai woh jisse chahe izzat aur sharaf se nawaaz de aur jisse chaahe
zaleel o khuwaar kar de. Allah ajzo inkisaari ko pasand fermata hai.
Takabur aur garoor Allah ke liye napasandeedah amaal
hain. Napsandeedah amaal jab had se tajawuz kar jaate hain to qudrat nafarmaano’n
ko nest o nabood kar deti hai. Har insaan apne ammal ka khud jawab deh hai is
liye baap ki buzurgi bete ki nafarmaani ka mudawa nahin ban sakti aur na bete
ki sa’dat baap ki sarkashi ka badal ho sakti hai.
Hazrat Aad Aleh Aslaam ke qisse main biyaan hua hai:
“ Kiya tum ne nahin dekha
ke tumhare Rabb ne oonchi amaarato’n waale aad e irum se kia salook kiya?”
(Surah Hajar: Ayat: 6-7)
Aur Aad Aleh Aslaam ki
tarf bheja in ka bhaai Hod Aleh Asalaam bola:
“ Ae Qo bandage karo Allah
ki, koi nahin tumhara sahara is ke siwa, kiya tum ko darr nahin?”
(Surah a’raaf: Ayat-65)
Gumrah qom ne ta’jub se poocha tum hamare paas siraf is
liye aaye ho ke ham sirf aik hi Allah ki ebaadat Karen aur unhain chhor den jin
ki ebaadat hamare baap dada karte the. Hazrat
Hod aleh Aslaam ny kaha, kiyun jhagarte ho mujh se naamo’n par rakh liye
hain tum ne aur tumhare
Baap dada ne nahin utaari Allah ne in ki koi sanad—Qom e Hod Aleh
Aslaam ne Aad aleh Aslaam ki ta’leemat se be’zaari ka iz’haar kiya aur
bole:
“ham ko brabar hai to
nasihat kare ya na kare.”
(Surat Ash’shora: Ayat
136).
Hazrat Hod aleh Aslaam ne in se kaha:
“Yaad karo is zaat ko jis
ne tumhain woh kuch diya hai jo tum chahte ho. Tumhain jaanwar diye, olaadein
den, bag o shajar diye aur tumhara yeh haal hai ke tum Allah ke saath inhain
shareek karte ho jo tumhain nafa o nuqsaan nahin pohncha sakte. Azmat o
Khush’haali ka muzaahirah karne ke liye tum ne kai kai manzilah aalishaan
amaratain banai hain, dolat aur sarwat hone ke bawajood tumhain itminaan e qalab
nahin hai. Is liye tum ne maadi duniya hi ko sab samajh liya hai.”
(Surat Ash’shora : Ayat
132-135)
Hazrat Sualeh Aleh
Aslaam ne apni Qom ko mukhatib kar e farmaya:
“ Tum log apne wade se phir gaye ho( jo wadah tumhari
rooho’n ne yom e azzal main Allah se kiya tha aur tum ne qaalu bala kehe kar
Allah ki rabubiyat ka iqraar kiya tha) Gussa aur intiqaam ke jazbe ne tumhain
andha kar diya hai tum logo ne Allah ke hukam ki Sareeh khilaaf warzi ki hai”.
(Surah Ae’raaf: Ayat: 76-77)
Hazrat Ibrahim
aleh Aslaam jab apne baap bu’tt taraash aur bu’tt parast qom se be’zaar hue
unhain khuda ko jaanne pehchaanne aur Irfan haasil karne ki aarzu hui. Aik roz
Hazrat Ibraahim aleh Aslaam ne apni
maa’n se pooch “ ae maa’n! Tera khuda kon hai? Beta mera khuda tera baap hai jo
meri zruriyaat ka kufail hai.
Hazrat Ibrahim
aleh Aslaam ne poocha. “ Amaa’n Jee! Mere baap ka khuda kon hai?” Maa’n ne
bataya ke Assamaan par chamakne wale sitaare tere baap ke khuda hain”.
Hazrat Ibrahim aleh Aslaam is jawaab se
mut’ma’een na hue. In ke andar ke noor ne khuda ki talaash ke liye unhain
Be’qraar kar diya.
Raat Andheri ho gayi to unhon ne aik sitarah dekha aur
kaha yeh mera rab hai, so jab woh garoob ho gaya to aap ne kaha main garoob ho
jaane walo’n se mohabbat nahin rakhta. Phir jab chaand ko chamakta hua dekha to
farmaya! Yeh mera rab hai. To jab woh garoob ho gaya to farmaya! Agar mujh ko
mera rab hadayat na karta rahe to main gumrah logo’n main shamil ho jata aur
phir Aftaab ko chamakta hua dekha to farmaya yeh mera rab hai! Yeh sab se bara
hai to jab woh garoob ho gaya to aap ne farmaya. Ae qom! Be’shak main tumhare
shirk se be’zaar hoon. Apna rukh is ki tarf karta hoon jis ne aasmaano’n aur
zameen ko paida kiya. Aur main shirk karne walo’n main se nahin hoon.
Allah Ta’lah ne mazaahir fitrat main Hazrat Ibrahim Aleh Aslaam ke is ammal ko apni
jaanib mansoob kiya hai.
Allah Ta’lah farmate hain:
“Phir ham ne Ibrahim ko Aasmaano’n aur zameen ki sultanat
main ajaibaat dkhaaye ta’keh wo yaqeen karne waalo’n main se ho jaye.”
(Surah Inaa’m: Ayat – 75)
Quran Paak main mazkor
hai:
“ aur yaad karo kitaab main Isma’il ka zikar tha. Woh
wadah ka sacha, aur tha Rasool aur Nabi aur Hukam karta tha apne ahl ko salaat
ka aur tha woh apne parwardigaar ke nazdeek pasandeedah.”
(Surah Maryyam : Ayat
84-85)
Hazrat Moosa Aleh
Aslaam ke wa’qiaat main se aik aham waqiah is Malaqaat ka hai jo in ke aur
Saahib e baatin mard khuda (Sufi) ke darmiyan hui. Allah Ta’lah ne farmaya Ae
Moosa ale Aslaam! Jahan do sumnadar milte hain wahan hamara aik bandah hai.
Hazrat Moosa aleh Aslaam ne arz kiya!
Parwardigaar is bande tak pohnchne ka kiya tareeqah hai? Allah ta’lah ne
farmaya.. Machhli apne tosha daan main rakh lo. Jis maqam par machhli gum ho
jaye isi jagah woh shakhs mile ga. Hazrat
Moosa aleh Aslaam jab is maqam par pohnch gaye jahan woh shakhs tha.
Hazrat Moosa Aleh
Aslaam ne salaam kiya aur bataya keh mera naam Moosa hai. Is shakhs ne poocha
Moosa bani israa’il?
Hazrat Moosa Aleh Aslaam ne kaha, Haan. Moosa Aleh Aslaam ne kaha.. Main aap se woh Ilm haasil karne aaya hoon jo
Allah ne aap ko sikhaya hai. Iss shakhs ne kaha. Ae Moosa! Tum mere saath rahe kar in
mua’mlaat main sabar nahin kar sako ge. Hazrat
Moosa Aleh Aslaam ne kaha! In Sha ALLAH mujh ko Aap saabir paa’ein ge.
Is shakhs ne kaha to phr shart hai keh jab tak aap mere saath rahen kisi
muaam’le main mujh se sawaal na Karen ge.
Dono kashti main beth gaye.
Iss shakhs ne ( jisse ahle baatin sufia Khizar aleh
Aslaam kehete hain) kashti main sooraakh kar diya. Hazrat Moosa Aleh Aslaam ne kaha.
Yeh aap ne kesi ajeeb baat ki hai keh kashti walo’n ne
ham se karaya bhi nahin liya aur aap ne kashti main sooraakh kar diya.
Hazrat Khizar aleh Aslaam ne kaha keh
maine aap se kaha tha keh aap sabar nahin kar saken ge.
Kashti kinaare lagi to dono utar kar aik maidaan main
ponche. Maidaan main bache khel rahe the. Hazrat Khizar aleh Aslaam ne aik bache ko qatal kar
diya.
Hazrat Moosa Aleh
Aslaam ne kaha yeh to bohat bura hua keh aap ne na’haq aik ma’soom ko qatal kar
diya. Hazrat Khizar aleh salaam ne kaha
keh main ne aap se shuru main kahe diya tha keh aap mere saath sabar o zabt se
kaam nahin lein ge. Hazrat Moosa Aleh
Aslaam ne kaha keh as martabah aur nazar andaz kar dijiye iss ke baad koi uzar
nahin rahe ga aur aap mujh se alehdah ho jain ge.
Chalte chalet aik aisi basti main pohnch gaye. Aik makaan
ki deewaar girne lagi thi. Hazrat Khizar
Aleh Aslaam ne isse durust kar diya.
Hazrat Moosa Aleh Aslaam ne kaha. Basti walo’n ne na hamari mehmaan daari kin a hamein tehrne ki jagah di.
Aap ne bager ujrat ke deewaar bana di. ( Fasoos ul Hukam)
Surah kehaaf main yeh
waa’qiah is tarah biyaan hua hai:
“Pas ab mujh main aur tum main judaai ka waqt aa gaya hai
haan jin baato’n main tum se sabar na ho saka. In ki haqeeqat tum ko batlaa
doon ga.”
(Surah kehaaf: Ayat : 78)
Hazrat Moosa aleh
Aslaam aur Hazrat Khizar aleh Aslaam ke
wa’qiah main yeh inkishaaf hai keh Allah ke nizaam main aise log bhi kaam karte
hain jo nabi nahin hain lekin yeh sab log toheed parast hote hain. Allah whadah
la shareek ki parastish karte hain aur in ki rooho’n ko Allah ka arfaan haasil
hota hai. Yehi sahib e arfaan log Allah ki baad’shaai main Allah ke numa’inde
ya khalifah hote hain.
Hazrat Maryyam
Aleh Aslaam inhin Jaleel ul qadar bando’n main se hain. Jab farishto’n ne kaha
“ Ae Maryyam Aleh Aslaam! Bila shuba Allah ne tujh ko buzurg di aur paak kiya
aur duniya ki aurto’n par tujh ko bargazidah kiya. Ae Maryyam Aleh Aslaam apne
parwardigaar ke saamne jhuk ja aur sajdah rez ho ja aur namaaz qaaim karne
walo’n ke saath namaaz ada kar.”
Quran Hakeem main hai jab farishto’n ne Maryyam aleh
Aslaam se kaha :
“Ae Maryyam! Allah Ta’lah tujh ko apne hukam ki basharat
deta hai aur is ka nam maseeh ibn e Maryyam Aleh Aslaam hoga. Woh duniya o
aakhrat main sahib e wajahat aur hamare muqrabeen main hoga.”
(Surah Al’Imran: Ayat: 45)
“Woh Maa’n ki god main logo’n se kalaam kare ga aur
nekokaaro’n main se hoga.”
(Surah Al’Imran: Ayat: 46)
Maryyam Aleh Aslaam ne kaha keh:
“ Mere larka kese ho sakta hai? Jab keh kisi mard ne mujhe
haath tak nahin lagaya.”
Farishte ne kaha:
“Allah Ta’lah jo chahta
hai isi tarah peda kar deta hai. Jab woh kisi she ke liye hukam karta hai to
bas kahe deta hai keh ho ja aur woh ho jata hai.”
(Surah Al’Imran: Ayat: 47)
Hazrat Maryyam Aleh Aslaam bache ko god main le kar
jab shehar pohnchein to logo’n ne unhain chaaro’n tarf se gher liya aur kahene
lage
“Maryyam aleh Aslaam yeh tu ne kesi tohmat ka kaam kar liya hai. Ae Haroon
ki behan na to tera baap bura aadimi tha aur na oi teri maa’n badchalan thi
phir yeh kiya kar bethi hai?”
(Surah Al’Imran: Ayat:
27-28).
Maryyam Aleh Aslaam ne
Allah ke hukam ki ta’meel karte hue larke ki tarf ishaarah kiya jo kuch poochna
hai iss se pooch lo main to aaj roze se hoon.
Hazrat Maryyam aleh Aslaam ke is
waqiah se yeh baat puri tarah wwazeh ho jati hai keh khawateen ko bhi Allah
ta’lah ne mardo’n ki tarah ruhaani silaahiyatain atta ki hain.
Surah Rehman main Allah Ta’lah ne irshaad faramaya hai !
“Ae groh jinaat aur groh insaan! Tum aasmaan aur zameen
ke kinaro’n se nikal kar dikhao, tum nahin nikal sakte magar sultan se.”
(Surah Rehman: Ayat: 33)
Tasawwuf main sultan ka matlab chhe (6) shaooro’n par gal’bah
haasil karna hai. Koi insaan zameeni shaoor main rehte hue chhe (6) shaooro’n
par gal’bah haasil kar le to woh zameeni shaoor se baahir nikal sakta hai.
Har insaan aik shaoor hai aasmaani duniya ko pehchaan’ne
ke liye in shaooro’n par gal’nbah haasil karne ke liye aasmaani duniya se
waaqfiyat hona zaruri hai. Jab insaan saat shaooro’n ka Idraak haasil kar leta
hai to is main arsh mualah ko dekhne ki silaahiyat peda ho jati hai.
Board ke oopar ghari bani hui hai. Ghari main sui ke aik
saath aik se barah tak hindse likhe hue hain. Hindse jis jagah likhe hue hain
woh space hai aur sui ka ghoomna time hai, agar sui ko itni raftaar se ghuma’ya
jaaye keh woh palak jhapakne se pehle 12 se 6 ke hindse par pohnch jaye to
shaoor parde main chala jaye ga aur jo shaoor aik, do, teen ke waqfo’n main se
guzar kar chh (6) tak pohnchta hai woh hzaf ho jaye ga. Ya’ni Zehn ki raftaar
itni tez ho jaye gi keh space ke wafe nazar andaaz ho jaein ge aur jab sui ko
is tarah ghuma diya jaye keh woh palak jhapakne se pehle barah
Par pohnch jaaye to zehn
ki raftaar itni ziyadah ho jaye gi keh aik se barah tak waqfo’n ko nazar
philaang jaye gi. ( Ruhaani Digest)
Reverse main barah se giarah se das aur isi tarah guzar kar aik par aa jaye to isse woh shaoor haasil ho jaye ga jo pedaish ke wqt tha.
Agar sui barah ke hindse
se reverse ho kar bek waqt ds par aa jaye to insaan ko woh shoor haasil ho jata
hai jo isse khuawb dikhata hai. Agar sui se uchhal kar no par aa jaye to isse
muraqbah ka shaoor haasil ho jata hai. Agar sui aath par aa jaye to isse woh
shaoor haasil ho jata hai jis ko wahi kehete hain. Aur yeh wohi wahi hai jis ke
baare main Allah Ta’lah ne farmaya hai keh ham ne sehad ki makhi par wahi ki.
Agar barah ke hindse par qaaim sui tezi ke sath harkat
kar ke aik dam saat par aa jaye to insaan ke oopar kashaf ki kefiyat taari ho
jaati hai aur agar sui chhe (6) par aa jaye to insaan ke andar woh silahiyat
peda ho jati hai jis ko Quran ne sultan kaha hai. Ya’ni ab insaan zameen ke kinaro’n
se bahir nikal sakta hai.
Zameen ke kinaaro’n se baahir dekhne ki silahiyat ke haamil saalik ke andar pehle aasmaan ka shaoor peda ho jata hai. Ala haz ulqiyaas is tarah saat aasmaano’n ko woh dekh leta hai aur saath aasmaano’n main woh daakhil bhi ho jata hai.
Allah kareem ne farmaya!
“ Ham ne aasmaan aur zameen ko the dar the banaya hai.”
“Allah
woh hai jis ne saat aasmaan banaye aur zameen ki qisam bhi unhi ki manind hai.”
“Aur tumhare oopar ham ne sat raaste banaaye takhleeq ke
kaam ham achi tarah waqif hain.”
(Surah Al-Mominoon: Ayat-17)
The dar the se muraad dar’asal woh shaoori silahiyatein
hain jo Allah ne insaan ko wadiyat ki hain. Saat teho’n wale aasmaano’n ya
zameen se muraad yeh hai keh har the aik mukmal nizaam hai aur har nizaam aik
mukmal zaab’tah hayaat hai. Aisa zaab’tah hayaat jis ka aik dusre se tasadam
nahin hota. In sab ka rishta khaaliq e kainaat ke saath qaaim hai.
Tam’maam cheezein aur makhlooqaat is baat ka Ilm rakhti
hain keh hamara khaaliq Allah hai aur is Ilm par yaqeen rakhte hue Allah ki
Hamd o sana biyaan karti hain aur shukar ada karti hain.
Arbao’n kharbo’n se ziyadah in cheezo’n ya makhlooqaat
main se koi aik makhlooq bhi Allah ki khaalqiyat se inheraaf kare to nizaam e
zindagi main khalal waqeh ho jata hai.
Yehi baat Allah Ta’lah ne biyaan
farmaai hai keh tam’maam cheezein jo aasmaano’n main aur zameen main hain Allah
ki hamd biyaan karti hain ya’ni Allah ki khaaliqiyat se inheraaf nahin kartin.
KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI
Rohaniyat
aur tasawuf ke barey mein logon nay bohat kuch likha hai, aik giroh ka
khayaal hai ke aksar sufia chunkay oon ka libaas pehantay they is liye log
inhen sufi kehte they. Oon ko arabi mein sof kehte hain. Woh log yeh libaas is
liye pehantay they ke sof ka libaas pehnana aksar nabiyo, walyoon aur bargzida
hstyon ka mamool raha hai. Baaz hazraat ke khayaal mein ashaab sufah ke sath
nisbat rakhnay ki wajah se yeh log sufi kehlate hain jabkay aik tabqa ka
khayaal hai ke sufi Safa se mushtaq hai lekin un saari tshrihat se dil mutmaen
nahi hota.