Topics

Malaika Ki Qismain

Noorani Farishtay :

 Un ki nisbat Allah taala ke ilm mein muqarrar hai. Kaayenaat ke majmoi taqazoon ke mutabiq nizaam chalana un ki duty hai.

 Mala Aala :

 Yeh farishtay pehli qisam ke firshton se ziyada qareeb hain.

Insani Roohein :

 Yeh woh roohein hain jo Mala aala se ilm sikhti hain aur yeh log aisay aamaal karte hain jin se un ka zehen o qalb masfa ho jata hai. Pakizgee aur noor ke zakheeray ki wajah se woh Mala aala ki baat samajhney ke qabil ho jatay hain. Marnay ke baad un firshton ki jamaat mein shaamil ho jatay hain jahan naik roohon aur firshton ka ijtima hota hai is maqam ka naam hazeerah al quds hai.

Hazeerah Al Quds :

Hazeerah al quds mein jama honay walay farishtay aur roohein insanon ko tabahi aur museebat se bachanay ke tareeqon par soch bichaar karte hain aur sab mutfiq ho kar yeh tareeqay insanon taq pohanchate hain. Is kaam ke liye woh ensaan muntakhib kya jata hai jo sab insanon mein sab se ziyada pakeeza ho. Pakeeza shakhs ke liye logon ko inspire kiya jata hai ke is aadmi ki pairwi karen.

Phir aik jamaat ban jati hai jo insaaniyat ki khidmat karti hai jin baton mein qoum ki bhalai aur behtari ho. Is pakeeza bande ki rooh mein wahi ke zareya khawab mein aur kabhi ghaib ki haalat mein woh batiyaa daakhil kar di jati hain. Is pakeeza rooh ensaan se Mala aala ro baroo baat karte hain.

 Malaika Asfal :

 Asfal ke farishtay Mala aala se dosray darjay mein hotay hain lekin yeh noorani firshton ke martabay ke barabar nahi hotay. Yeh farishtay apni taraf se kuch nahi sochthay. Oopar se hukum anay ka intzaar karte rehtay hain. Woh itni hi baat jantay hain jitni baat oopar ke farishtay inhen samgha den. Farishtay machine ki terhan kaam karte hain un ke samnay zaati naffa o nuqsaan nahi hota. Sirf wohi amal karte hain jis ka inhen oopar ke firshton ki taraf se ilham hota hai. Yeh farishtay harkat tabdeel karne mein bhi apna asr daaltay hain.

Malaika Samawi :

 Allah taala ka hukum sab se pehlay hazeerah al quds mein aata hai wahan Mala aala is hukum ko sun kar apne neechay darjay ke firshton ko pohanchate hain. Neechay ke farishtay sun kar apne neechay ke firshton ko Allah taala ka hukum sunaate hain. Yeh farishtay Malaika samawi hain. Malaika samawi Allah taala ka hukum sun kar Malaika unsari ko pohanchate hain.

Malaika Unsari :

 Malaika unsari Allah taala ka hukum sun kar makhlooq ko inspire kartey hain. Agar do jamaaton mein larai ho jati hai to yeh farishtay wahan poanch kar halaat ke mutabiq aik jamaat ke dilon mein bahaduri, saabit qadmi aur fatah karne ka jazba peda karte hain, un ki madad bhi karte hain aur doosri jamaat ke dilon mein kamzoree buzdali ke khayalat inspire kartey hain taa ke Allah ke chahanay ke mutabiq nateeja niklay aur woh jamaat ghalib aa jaye jis ka ghalba Allah chahta hai un firshton ka naam Malaika asfal hai.

Karaaman Kaatbeen :

 Firshton ki aik qisam karaman kaatbeen hai jin ki har ensaan ke sath duty hai. Aik farishta har naik kaam ki video film banata hai aur dosra har buray kaam ki video film banata hai.

Beet Ul Mamoor :

Sidra almantaha ke neechay beeet al’ma’moor hai. Beeet al’ma’moor Hazrat  ibrahim khalil Allah ka maqam hai is hi maqam mein malaa e aala rehtay hain. Un ke oopar jo farishtay hain un ka naam Malaika noori hai. Malaika noori ke neechay Mala aala, Mala aala ke neechay Malaika samawi aur Malaika samawi ke neechay Malaika unsari hain

Firshton Ke Giroh :

Giroh Jibraiel ? Giroh mikaeel? Giroh izraeel? Giroh Israfeel ?

Har giroh ki allag allag salahiyaten hain aur un salahiyaton ka allag allag istemaal hai.

Hazrat  Jibraiel aleh salam Allah ke qasid hain. Wahi pahunchana aur ilham karna un ka Wasf hai.

Hazrat  mikaeel aleh salam ke faraiz mein barish ke saaray mamlaat hain.

Hazrat  izraeel aleh salam ke zimma mout se mutaliq mamlaat hain.

Hazrat  Israfeel aleh salam ki duty mein qayamat se mutaliq mamlaat hain.

Firshton Ki Salahiyaten :

Saat aasman mein har aasman aik zone hai.

Har zone ke farishtay allag allag hain lekin saton asmanon mein mojood firshton ko malaika samawi kaha jata hai. Allah taala ki taraf se firshton ko jo salahiyaten ataa hui hain woh firshton ke paron se zahir hoti hain. Firshton ke par salahiyaton aur sifaat ke mutabiq chhootay barray hotay hain. Paron ki tadaad mein bhi farq hota hai. Jis terhan more ke par hotay hain aur paron par khobsorat naqsh o nigaar hotay hain isi terhan firshton ke paron par bhi la’shumaar nuqoosh hotay hain. Har naqsh aik salahiyat hai. Firshton ke paron mein se noor ke jhamaakey hotay hain.

Doosri qisam ke firshton ke paron mein sabz roshiniyon ka inikaas hota hai.

Kainati Nizaam :

Jibraiel , mikaeel, Israfeel , izraeel, karaman kaatbeen, munkir nakeer, malaika rizwan, malaika zamaniya waghera. Firshton ke kayi tabqay hain. Saaray farishtay kainati nizaam mein duty injaam dete hain. Farishtay Allah ki makhlooq hain aur Allah ke hukum ki tameel mein zarra barabar farq nahi karte.

Firshton ki tadaad ka kisi bhi terhan andaza nahi lagaya ja sakta. Jaissa ke hum arz kar chuke hain ke takhleeqi nizaam mein har ensaan ke sath 20 hazaar firshton ki duty lagi hui hai.

Is waqt hamari duniya ki abadi chay arab hai jabkay hamari duniya ki terhan karorron dnyayin aur bhi mojood hain.

Doosri dnyaon ke muqaabla mein hamari zameen sab se chhota kurrah hai. Sair ke douran sufi ko hamari zameen aisi nazar aati hai jaisay barray gunbad par soi ki noke se nishaan laga diya jaye.

Allah taala farmatay hain duniya ke saaray darakht qalam ban jayen aur samandar roshnaye ban jaye aur yeh sab khatam ho jayen ge lekin Allah ki baatai baqi rahen gi.

Aamaal Naama :

Aadmi jab mar jata hai to jo kuch is ne duniya mein kya hai woh record ho jata hai. Chahay woh zarra barabar neki ho. Chahay zarra barabar buraiee ho. Har amal aur har qoul ki karaman kaatbeen video film banatay rehtay hain. Ensaan marnay ke baad yahi film daikhta rehta hai.

Maslan aik aadmi ne chori ka iradah kya. Neki likhnay walay farishtay ne is ke dil mein khayaal dala ke yeh bura kaam hai usay nahi karna chahiye. Allah is amal se nakhush hota hai lekin chor ne is baat ko qubool nahi kya aur woh chori ke liye ghar se nikal gaya. Kisi ghar mein naqb lagai aur samaan chori kar ke apne ghar le aaya. Mazhabi aitbaar se is ke zehen mein yeh baat hai ke chori ki saza haath ktna hai.

Marnay ke baad is chor ko yeh poori film dikhayi jaye gi. Aur chori ke nateeja mein film mein is ka haath bhi kaat diya jaye ga. Chor jab apni zaat se mutaliq film daikhta hai to woh yeh bhool jata hai ke mein film dekh raha hon.

Jab is ka haath ktta hai to woh film mein apna haath kata huadaikhta hai aur usay shadeed takleef hoti hai.

Aik naik aadmi namaz ke liye masjid gaya. Namaz ada karne ke baad Allah ke ghar mein aaraaam se baith gaya. Allah se talluq ki binaa par masjid mein usay sukoon mila. Allah ke zikar ki noorani lehron ne usay raahat bakhsh aur woh Allah ki maizbani se khush ho gaya. Yeh film ghar se niklny ke waqt se masjid mein bethnay aur noorani lehron se sairaab honay ke waqt taq banti rehti hai. Jab yeh bandah duniya se rukhsat ho jaye ga to usay neki ke amal aur neki ki film dikhayi jaye gi. Yeh film dekh kar usay khoshi aur sakoon miley ga.

Munkir nakeer marnay ke baad pehli Malaqaat mein sawalaat kar ke yeh bta dete hain ke neki aur buraiee mein bandah ki kya hesiyat hai. Agar woh naik hai to jannat ke nazaron se mstfiz hota hai, buraiee ka paiker hai to dozakh ka azaab nazron ke samnay aata rehta hai.


Ahsan o Tasawuf (sufism)

KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI

Rohaniyat aur tasawuf ke barey mein logon nay bohat kuch likha hai, aik giroh ka khayaal hai ke aksar sufia chunkay oon ka libaas pehantay they is liye log inhen sufi kehte they. Oon ko arabi mein sof kehte hain. Woh log yeh libaas is liye pehantay they ke sof ka libaas pehnana aksar nabiyo, walyoon aur bargzida hstyon ka mamool raha hai. Baaz hazraat ke khayaal mein ashaab sufah ke sath nisbat rakhnay ki wajah se yeh log sufi kehlate hain jabkay aik tabqa ka khayaal hai ke sufi Safa se mushtaq hai lekin un saari tshrihat se dil mutmaen nahi hota.