Topics
Sahabiyaat aur sahabah
karaam ki roohein Quran Paak ke anwaar…noor qadas aur noor nabuwat se labareez
theen. Is daor main ruhaani qadro’n ka zikar na hona gaaliban is hi wajah se
tha kiyon keh Sahabah Karaam ko lataaif ke rangeen karne main alag se jadojehad
nahin karna parti thi. Albat’ta taba tabeen ke baad logo’n ke dilo’n se Quran
aur Paak aur Ahadees ke anwaar jab madoom hone lage to is daor ke logo’n ne
tishnagi mehsoos kar ke wasool ila Allah ke zara’ae dariyaaft kiye choona’cheh
sheikh najam ul ddin kubra aur in ke shagir maslan shahaab ul ddin sehrwardi
(R.A), sheik Abdul Qaadir Jeelani (R.A), Khawajah moinuddin Chishti (R.A) aur
in ke rafqa aise log the jinho’n ne qurb nawafil ke zariye ala Allah ki tarzo’n
main la shumaar ikhtira’aat ken aur tarah tarah ke Azkaar ashgaal ki ibtida ki.
Yeh tarzen sheikh hassan basri ke daor main nahi milten.
Ba’zoq wa ba’muraad in
qudsi nafs logo’n ne Allah Ta’lah ki sifaat jaanne main inhimaak haasil kiya
aur phir zaat ko samajhne ki qadre’n qaaim ken isi rabat ka naam sufi hazraat
nisbat Ilmia rakhte hain kiyon keh is rabat ya zabat ke ajza ziayadah tar
jaanne par mushtamil hain.
Jab Allah Ta’lah ki sifaat
ko samajhne ke liye koi sufi fikar ka ahtamaam karta hai is waqt woh ma’rfat ki
in raaho’n par hota hai jo zikar ke sath fikar ke ahtmaam se labareez hoti hai.
Is raaste ko qurb nawaafil kehete hain.
Yeh nisbat awal jazab phr ishq aur phr sakeenah ke
nisbato’n ke majmu’ae par mushtamil hai. Sakeenah woh nisbat hai jo aksar
sahabiyaat aur sahabah karaam ko haasil thi. Yeh nisbat Hazoor Sal’lallaho
Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ki mohabat ke zariye noor nabuwat ke hasool se
peda hoti hai.
Jab qalb insaani main Allah Ta’lah ki nemato’n aur
ahesaan ka hajoom hota hai aur insaan qudrat ke atiyaat main fikar karta hai to
is waqt Allah ke noor ke tamsilaat baar baar insaani tabiyat main mojzan hote
hain. Yehan se is rabat ya nisbat ishq ki daag bel par jaati hai. Raftah raftah
is nisbat ke
Baatini inhemaak ki
kefiyatein ronma hone lagti hain phir in latifon par rang chharne lagta hai
ya’ni latifo’n main anwaar e ilahiaah pe dar pe pewast hote rehte hain. Is
tarah nisbat ishq ki Jaren mustehkam ho jati hain.
Yeh woh nisbat hai jis ko taba ta’beeyan ke baad sab se
pehle Hazrat bhaao Uddin naqashband
(R.A) ne nishan be nishani ka naam diya hai. Is hi ko Naqshbandi jamaat
iad’daasht ka naam deti hai. Jab Aarif ka zehan is simat main rajoo karta hai
jis simat azal ke anwaar chhaye hue hain aur azal se pehle ke naqoosh mojood
hain. Yehi naqoosh aarif ke qalb par baar baar daor karte hain aur sirf
“Wahdat” aarif ki fikar aur soch ka ahahaatah kar leti hai aur har tarah hoyiat
ka tasalat ho jata hai. Is nisbat ki shua’en rooh par nazool karti hain aur jab
aarif in main ghir jata hai aur kisi tarf nikalne ki raah nahin paata to aqal o
shaoor se dastbardaar ho kar khud ko is nisbat ki roshiniyon ke reham o karam
par chhor deta hai.
Nisbat ki bohat si qismain hain ham ne nisbat se agaahi
aur nisbat ke mafhoom se ba’khabar hone ke liye chand nisbato’n ka zikar kiya
hai.
Nisbat se muraad yeh hai keh jis buzurg se aap ka ruhaani
ta’luq qaaim ho jaaye. Aap ki tarz e fikar is ki tarz e fikar ke mutabiq ho
jaaye.
Allah waalo’n ki ta’reef yeh hai keh in ka har amal aur
har kaam Allah ke liye hota hai ya’ni woh Allah ki maarfat sochte hain. Allah
ke liye sote hain. Allah ke liye jaagte hain. Aise
Alwal’azam bando’n ki
zindigi Allah ke liye waqf hoti hai woh kehete hain keh:
“ Hamara yaqeen hai har amar Allah ki
tarf se hai”
Ruhaani aloom seekhne aur ruhaaniyat
main daakhil hone ke liye do tareeqe hain aik tareeqe ka naam qurb e nawafil
hai aur dusre tareeqe ka naam qurb e faraiz hai. Qurb e nawafil ho ya qurb e
faraiz dono aloom murshad kareem ya kisi wali Allah se muntaqil hote hain.
Barah e raast oliyaa Allah ki arwaah se muntaqil hone wale ruhaani aloom nisbat
awaisiya ke tehat muntaqil hote hain.
KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI
Rohaniyat
aur tasawuf ke barey mein logon nay bohat kuch likha hai, aik giroh ka
khayaal hai ke aksar sufia chunkay oon ka libaas pehantay they is liye log
inhen sufi kehte they. Oon ko arabi mein sof kehte hain. Woh log yeh libaas is
liye pehantay they ke sof ka libaas pehnana aksar nabiyo, walyoon aur bargzida
hstyon ka mamool raha hai. Baaz hazraat ke khayaal mein ashaab sufah ke sath
nisbat rakhnay ki wajah se yeh log sufi kehlate hain jabkay aik tabqa ka
khayaal hai ke sufi Safa se mushtaq hai lekin un saari tshrihat se dil mutmaen
nahi hota.