Topics
Ibn E abbaas Razi allah
Ta’lah Anho farmate hain keh makhlooq chaar hain aik makhlooq puri janati hai
aur aik makhlooq puri jahanmi hai aur do makhlooq janati wa jahanmi hain.
Hazrat Aysha Razi
Allah Ta’lah Anho Farmati hain keh Hazrat
Umar Razi Allah Ta’lah Anho ke Shaheed hone se teen din qabal jinnaat ne
ro ro kar yeh ash’aar kahe they:
“ Allah Ta’lah imam aadil ko barkat de aur bhalaai ka
badlah de. Aap ne kuch amoor te kiye they jin ki kaliyaa’n abhi khil nahin paai
thee’n keh in par museebate’n aa pare’n jo aadimi sawaar ho kar dekhna chahe
dekh
Le in ka har wadah pura mile ga. Mujh ko in ke aik khabees aur bad surat aadimi ke haathon se qatal hone ka andeshah nahin hai. Andeshah yeh hai keh ab duniya ke andar taareeki chhaa jaye gi. Aap apne Rabb se Jannat main ja mile aur Aap ko aisa libaas pehnaa diya gaya jo kabhi boseedah nah hoga.”
Hazrat Sulemaan Aleh
Assalaam ke Lashkar main jinaat, chirand, pirand sab kea lag alag daste they.
Har jaandaar shey shajrah hujjar Aap ke taabe they. Samnadro’n ki the se moti
aur monga jinaat nikaalte they, Azeem ul shaan amaarte’n banaane par jinnaat ki
duty lagi hui thi.
Jinnaat taanbe ke be misaal zaroof
banaate they. Hazrat Sulemaan Aleh
Assalaam ko yeh ikhtiyaar haasil tha keh in se jis tarah chahe kaam lete they.
KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI
Rohaniyat
aur tasawuf ke barey mein logon nay bohat kuch likha hai, aik giroh ka
khayaal hai ke aksar sufia chunkay oon ka libaas pehantay they is liye log
inhen sufi kehte they. Oon ko arabi mein sof kehte hain. Woh log yeh libaas is
liye pehantay they ke sof ka libaas pehnana aksar nabiyo, walyoon aur bargzida
hstyon ka mamool raha hai. Baaz hazraat ke khayaal mein ashaab sufah ke sath
nisbat rakhnay ki wajah se yeh log sufi kehlate hain jabkay aik tabqa ka
khayaal hai ke sufi Safa se mushtaq hai lekin un saari tshrihat se dil mutmaen
nahi hota.