Topics

JINAAT

Hazrat Abdullah Bin Umar Ul Aas (Razi Allah Ta’lah Anho) Farmate hain keh Allah Ta;lah ne jinaat ko Hazrat  Aadam Aleh Asslaam se kai hazaar saal qabal peda kiya hai. Hazrat Abdullah Ibn e abbas se marwi hai keh:

            Jinaat zameen par rehte they aur farishte Aasmaan par aur zameen o Aasmaan in hi se aabaad they aur har aasmaan kea lag farishte hain har aasmaan walo’n ki alag alag tasbeeh hai aur oopar wale aasmaan ke farishte neechey wale aasmaan walo’n se ziyadah zikar o tasbeeh karte hain.

Abu Ul Jin Taarah Noos:

            “Jis tarah aaj insaan apni nasal ka shajrah Hazrat  abu ul bashar Aadam Aleh Asslaam se milaate hain bilkul yehi kefiyat qom ijjnah ki hai in ka silsilah tuwaalid o tanaasil abu ul jin taarah noos se milta hai aur jis tarah aurat o mard insaano’n main peda hote hain isi tarah qom ijjnah main bhi peda hote hain.”

Jinnaat Ki Duniya:

            Hazrat  Ibn E Abbaas se marwi hai keh:

            “Allah Ta’lah ne jinnaat ki tarf apne rasool ma’boos kiye peghambro’n ne Allah Ta’lah ki ebaadat ka hukam diya aur shirk se baaz rehne ki ta’leem di aur aapas main khoon rezi se mana kiya. Jinaat ne khuda ki na’farmaani ki aur is ke saath shareek tehraaya aur khoon rezi shuru kar di to azaab e illah ne unhain hilaak kar diya.

            Allah Ta’lah ne jab Aadam aleh Asslaam ki pedaaish ka tazkirah kiya to farishto’n ne aadam ko jinnaat par qayaas karte hue kaha keh yeh bhi khoon rezi kare ga.”

            Hazrat  Abdullah Ibn E Zubair Razi Allah Ta’lah Anho ne aik shaks ko dekha jo sirf do baalisht ka tha. Aap ne is se poocha tu kon hai?

Is ne jawaab diya. Main izib hoon. Aap ne poocha. Izzib kon? Is ne kaha. Main jinn hoon. Aap Razi Allah Ta’lah Anho ne is ke sar par dnada maara aur woh bhaag gaya.

Mushrik Jinnaat:

            Baa’z logo’n ne mukhtalif surto’n main jinnat dekhne ke wa’qiaat biyaan kiye hain. Tabdeeli surat ki noiyat chahe jo ho magar yeh saabat hai keh malaijah aur jinnaat apni suratain tabdeel kar sakte hain.

            Hazrat  bilal Razi allah Ta’lah Anho Ibn E Haaris farmaate hain keh:

            Ham Hazoor Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ke saath safar main they ham ne aik jagah paraao kiya……

            Hazoor Paak Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam wahan se kuch door tashreef le gaye. Maine shor suna mujhe laga keh log jhagar rahe hain. Maine Aap Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam se poocha. Yeh shor kesa hai?.

            Aap Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ne farmaya muslim o mushrik jinnaat makanaat ke baare main jhagra kar rahe they. Maine muslim jinnat ko bastiyo’n main aur pahaaro’n ki chotiyo’n main rehne ke liye kahe diya aur mushrik jinnaat ko waadiyo’n aur jazeero’n main rehene ke liye hukam diya hai.


Ahsan o Tasawuf (sufism)

KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI

Rohaniyat aur tasawuf ke barey mein logon nay bohat kuch likha hai, aik giroh ka khayaal hai ke aksar sufia chunkay oon ka libaas pehantay they is liye log inhen sufi kehte they. Oon ko arabi mein sof kehte hain. Woh log yeh libaas is liye pehantay they ke sof ka libaas pehnana aksar nabiyo, walyoon aur bargzida hstyon ka mamool raha hai. Baaz hazraat ke khayaal mein ashaab sufah ke sath nisbat rakhnay ki wajah se yeh log sufi kehlate hain jabkay aik tabqa ka khayaal hai ke sufi Safa se mushtaq hai lekin un saari tshrihat se dil mutmaen nahi hota.