Topics
Ahsan ul khaalqeen Allah Ta’lah jab kisi cheez wajood main lane ka iradah
karte hain. Isse
hukam dete hain keh ho ja aur woh ho jaati hai. Takhleeq hone main wasaail zer
e behs nahin aate. Allah Ta’lah jo kahe dete hain woh ho jaata hai.
Khaalqeen ka lafz hamein
is tarf mutawajo karta hai keh Allah Ta’lah ke elawah makhlooq bhi Allah ke
diye hue wasaail se takhleeq kar sakti hai. Aaj ked or main be shumaar misaalon
main se aik misaal bijili hai, jab makhlooqaat main se aik bande ne bijili ke
baare main socha aur tehqeeq o talaah main inhemaak peda hua to bijili ka
muzaahirah ho gaya, jab bijili wajood main aa gayi to bijili se laakhon cheezen
ban gayin. Lekin yeh haqeeqat apni jagah muslimah hai keh bijili wajood main
aane se pehle bisaat aalam main mojood thi.
Allah Ta’lah ka wasaf yeh hai keh jab Allah Ta’lah ne
kunn kaha to krwro’n cheezo’n ke saath bijili bhi peda ho gayi aur jab Aadam
zaad ne apna ikhtiyaar istemaal kar ke bijili ke Ilm ke andar tafakkar kiya to
yehi bijili adam se aalam zaahir main aa gayi.
Is ka matlab yeh hua keh tawanaai aur current khaalis
Allah ki takhleeq hai. Current ke bhaao ko taaro’n par se guzaarna aur is bhaao
ko bulb, tubelight, pankho’n airconditionors ya chhoti se chhoti aur bari se
bari diyo hekal machine main flow karna insaan ki takhleeq hai.
Jis dhaat se taar bane hain woh Allah ki takhleeq hai
lekin dhaat ko daaiyo’n main dhaalna aur daaiya’n banana insaan ki
Takhleeq hai.
Allah ki aik takhleeq se hazaaro’n zeli takhleeqaat ka
muzaahirah aadam zaad ki silahiyato’n ka tasaraf hai aur yeh tasaraf is ke Ilm
ke zariye hota hai jis ko Allah Ta’lah ne Ilm alasmaa kaha hai. Ilm alasma se
muraad yeh hai keh aisa Ilm jo Allah Ta’lah ne insaan ko sikhaya hai. Jab aadam
is Ilm ki gehraai main taffakar karta hai to tafakkar ke natije main nai nai
takhleeqaat aur eejaadaat hamaare saamne aati rehti hain.
Quran hakeem main irshaad hai:
“ Ham ne loha (dhaat) naazil kiya aur is ke andar insaan
ke liye beshumaar faide hain.”
(Surat Al’Hadeed – Ayat : 25)
Laakho’n saal par muheet guzre hue adwaar main ejadaat
aur taraqi par gor kiya jaye to har taraqi main kisi na kisi dhaat ya Allah
Ta’lah ky peda kiye hue wasaail ka amal dakhal hai.
Quran hakeem main irshaad hai:
“Allah Aasmaano’n aur zameen ki roshini hai.”
Ya’ni samawaat aur zameen ki takhleeq main roshini
waseelah ban rahi hai. Is ayat par tafakkar ke natije main inkishaaf hota hai
keh roshini bhi aik wajood hai. Aadam zaad jab roshiniyo’n kai lam haasil kar
leta hai to is ke liye nai nai ijadaat karna aasaan amal ban jaata hai. Lohe ki
tarah gold bhi aik dhaat hai. Gold ke zarraat ikathe kar ke ham sone ki dalli
bana lete hain aur lohe ke zarraat ko iktha kar ke Casted Metal bana lete hain.
Bhatti main steel ko
pighla kar sariya, gaadar aur mukhtalif cheezen bana li jaati hain.
Lekin yeh sab is waqt hota hai jab aadam zaad Allah ki di
hui silahiyato’n ko istemaal kar ke wasaail main tafakkar karta hai. Allah
Ta’lah takhleeq karne main kisi ke muhtaaj nahin hain jab woh koi cheez peda
karna chahate hain to iraadah kar lete hain. Takhleeq main jitney wasaail ka
hona zaruri hai woh khud ba khud mojood ho jaate hain.
Bande ki takleeq yeh hai keh woh pehle se mojood wasaail
main gor o fikar karta hai aur in sab ko iktha kar ke koi cheez banata hai
jaise paani ko Dam main iktha kiya jaata hai aur khaas process ke tehat is se
bijili haasil ki jaati hai aur dhaato’n ko iktha kar ke in dhaato’n se koi
mukhtalif cheezen bana li jaati hain.
Isi tarah zameen se gandam haasil kar ke chaki main pees
kar aaata goondh kar roti pakaai jaati hai. Yeh zeli takhleeq wasaail main
mehdood rahe kar wasaail ko jama kar ke hoti hai.
Takhleeq ka dusra tareeqah roshiniyo’n main tasarf karna
hai. Roshiniyo’n main tasarf karne ke liye zaruri hai keh hamein roshiniyo’n
kai lam haasil ho. Jab koi insaan roshiniyo’n kai lam haasil kar leta hai to
woh in lehron ka idraak kar leta hai jin lehro’n par roshiniya’n safar karti
hain. Allah Ta’lah geb ul geb ke aalam ul geb hain. Kaainaat ke zarrah zarrah
ki harkaat o saknaat ko jaante hain in ke Ilm main hai keh insaan se zeli
takhleeqaat wajood main aati rahen gi. Is hi liye Allah ‘Ta’lah ne apne aap ko
ahsan ul khaalqeen kaha hai.
Khaaliq kaainaat Allah ne insaan ko apni soorat par peda
kiya hai. Ya’ni insaan ko Allah Ta’lah ki sifaat aur tarz e fikkar kai lam atta
kiya gaya hai. Tarz e fikkar roshinyo’n ka zakheerah hai jin se hawaas takhleeq
hote hain aur hawaas main shaoor daakhil Hota hai.
Jaise jaise tarz e fikar ki roshiniyo’n ka zakheerah hota
hai isi munasbat se hawaas ki raftaar tez ho jaati hai aur shaoor main itni
sikat peda ho jaati hai keh wo lashaoori tehreeqaat ko ziyadah se ziyadah
qabool kar leta hai.
Tasawwuf kea loom seekhne waali taalibaat o tulba ko yeh
baat zehn main rakhni chahiye keh duniyaawi aloom ki jahan inteha hoti hai
wahan se ruhaani aloom shuru hote hain.
Roohani aloom la’shaoori silahiyat ke taabe hai jis tarah
duniaawi aloom seekhne ke liye ustaad, shaagird , school aur waqt ki zarurat
hai isi tarah roohani aloom seekhne ke bhi taqaaze hain. Insaan jaise jaise
agli class main jaata hai isi munaasbat se is ki shaoori sikat barhti rehati
hai. Teen saal ka bacha ABCD parhna nahin jaanta. A,B,C,D parhne se bacha ke
shaoor par wazan parta hai aur phir Aahistah Aahistah yehi bacha apni umar ki
munaasbat se parhte parhte Phd ho jaata hai. Agar qaaidah parhne waale
taalibilm se yeh tawaqo rakhi jaaye keh woh paanchwin class ka parcha hal kar
le ga to yeh baat tajurbe aur aqal ke khilaaf hai.
Insaani zindigi teen daairo’n main taqseem hai. Tabiyaat,
nafsiyaat, ma’baad ul nafsiyaat, tabiyaat aur nafsiyaat ka Ilm hamain ma’baad
ul nafsiyaat se milta hai. Ma’baad ul nafsiyaat main takhleeq kaainaat ke
formulo’n ka inkishaaf hota hai.
Tasawwuf ke tulba ko is baat kai lam haasil ho jaata hai
keh kaainaati aloom is ki dastaras main kis had tak hain. Ma’baad ul nafsiyaat
ya persycology is amar ka inkishaaf karta hai keh duniya main kisi amal ki
takmeel ka khayaal aaye bager nahin hoti. Woh
amal khushi se mutaliq ho ya gham se mutaliq ho. Tasawwuf hamain batata hai keh
insaan teen parat ka majmuaa hai:
1.
Sifaat
2.
Zaat
3.
Zaat
aur sifaat ko muta’ruf karaane wala fard is parat ko maadi jism ya aadimi kaha
jaata hai.
Har parat ke mehsoosaat
alag alag hain. Zaat ka parat weham aur khayaal ko tasawur bana kar shoor main
muntaqil karta hai aur shaoor tasawuraat ko khushi ya gham main rad o badal
karta hai.
Shaoor main do qisam ke naqoosh hote hain. Aik naqsh main
lateef anwaar ka zakheerah hota hai aur dusri qisam ke naqoosh main khud garzi,
tang nazri aur kaseef jazbaat ka zakheerah reheat hai.
Allah Ta’lah ne har shey ko mueyan miqdaaro’n se takhleeq
kiya hai. Mueyan miqdaare’ ahkaam illahi ke taabe hain. Jab insaan Allah ke
ahkaam ki ta’meel karta hai to insaan khush rehta hai aur agar Allah ke
ahkamaat ke khilaaf amal karta hai to is ki zindigi main khof aur gham shaamil
ho jaata hai.
Quran hakeem main irshaad hai:
“ Main ne aadam ko zameen par apna naaib aur khaleefah
muqrar kiya hai.”
Aadam ki nayabat o khilafat Ilm ul asmaa se mashroot hai.
Agar insaan Ilm ul asmaa kai lam nahin jaanta to nayabat aur khilaaf zer e behs
nahin aati is liye keh Allah Ta’lah ne
jab kaha keh main zameen par apna naaib banaane wala hoon to farishto’n ne arz
kiya keh aadam zameen main fasaad kare ga. Allah Ta’lah ne Ilm ul asmaa sikha
kar aadam ko hukam diya keh biyaan kar jo ham ne tujhe sikhaaya hai. Aadam ne
jab Allah
Ta;lah ka atta kardah Ilm
biyaan kiya to farishto’n ne etraaf kiya keh ham itna hi jaante hain jitna Ilm
Aap ne hamain sikha diya hai.
Mafhoom waaze hai keh aadam ki
fazaliyat is Ilm ki wajah se hai jo Ilm farishte aur jinaat nahin jaante. Yeh
Ilm Allah Ta’lah ne aadam ki rooh ko muntaqil kiya.. Is Ilm ko jaanne ke liye
zaruri hai keh insaan apni rooh ko jaanta ho. Rooh ko jaanne ke liye Matter aur
Roshini…. Roshini aur noor kai lam haasil karna zaruri hai.
KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI
Rohaniyat
aur tasawuf ke barey mein logon nay bohat kuch likha hai, aik giroh ka
khayaal hai ke aksar sufia chunkay oon ka libaas pehantay they is liye log
inhen sufi kehte they. Oon ko arabi mein sof kehte hain. Woh log yeh libaas is
liye pehantay they ke sof ka libaas pehnana aksar nabiyo, walyoon aur bargzida
hstyon ka mamool raha hai. Baaz hazraat ke khayaal mein ashaab sufah ke sath
nisbat rakhnay ki wajah se yeh log sufi kehlate hain jabkay aik tabqa ka
khayaal hai ke sufi Safa se mushtaq hai lekin un saari tshrihat se dil mutmaen
nahi hota.