Topics
Duniyaawi aloom ki tarah
salasal taraqeeyat aur khankaahi nizaam main bait (Shagradi ikhtiyaar karna)
buniyaadi amal hai. Bait farz nahin hai lekin duniya main bohat saare kaam aise
hain jo farz nahin hain. Maslan kahin nahin likha hai keh engineer banna farz
hai, barhi ka kaam seekhna farz hai, doctor banna lazam hai. Lekin behrhaal
ta’leem haasil karna mua’shre ki buniyaadi zarurat hai. Quran hakeem main Allah
Ta’lah ne bait ke fawaaid biyaan kiye hain.
Allah Ta’lah farmate hain:
“Ae pegambar! Jo log aap ke saath bait karte hain, Allah
ke sath bait karte hain, in ke haathon par Allah ka haath hota hai.”
(Surat Fateh – Ayat: 10)
“Tehqeeq khareed li Allah
ne musalmaano se in ki jaane’n aur in ke maal aur is ke badle main in ke liye
Jannat hai:
(Surat Tauba - Ayat:111)
“Ae emaan walo! Allah se
daro aur is tak pohncne ke liye waseelah talaash karo”
(Surat Mai’dah - Ayat:35)
Mufsareen, muqtadeen aur akabaren ke nazdeek waseelah se
muraad “MURSHAD” ka waseelah hai. Ya’ni ustaad shaagird ka rishta hai. Shah
Abdurraheem (R.A), Shah Abdul Aziz Muhdas Dehlwi (R.A) ne waseelah se yehi
ma’ni muraad liye hain. Oliya karaam ka faislah bhi yehi hai keh waseelah se
muraad sheikh
Taraqiyat ke ilawah aur
kuch nahin ho sakta, lekin munkareen taraqiyat kehete hain keh waseelah se
muraad “ nek amaal” hain.
Shah Abdul Aziz Muhdas
Dehlwi farmate hai:
Agar nek amal waseelah hai to sheik taraqiyat bhi mureed
ke liye nek amaal karaane kay a siraat e mustaqeem par chalaane ka aur irfaan
zaat ke baad irfaan illahi haasil karne ka waseelah hai.
Allamah Zamhashri (R.A), Shah Abdurraheem (R.A),
Ba’yazeed Bistaami (R.A) Junaid Baghdaadi (R.A), Moinuddin Chishti (R.A)
Nizaamuddin Oliya (R.A) aur tam’maam Oliya Karaam, Qaadriya, Chishtiya Aur
Naqashbandiya Salasal aur majdad Alif Saani (R.A) Molana Room (R.A),
Fareeduddin Attaar (R.A), Allama Iqbal (R.A) Aur Qalandar Baba Oliya (R.A) Lafz
“Waseelah” se muraad “Sheikh” hi lete hain.
Jab Ham insaani jablat aur fitrat par gor karte hain to
aik baat ke ilawah dusri Kisi baat par zehan nahin rukta keh koi bhi Ilm
seekhne ke liye ustaad ki zarurat hoti hai.
Log etraaz karte hain keh kitaab Allah ki mojoodigi main
sheikh ki kiya zarurat hai?
Is etraaz ke jawaab main kuch hazraat yeh kehete hain keh
jab Allah ki kitaab mojood hai to mu’alam kitaab ki zarurat sawaaliya nishaan
ban jaye gi. Yeh baat amar musalimah hai keh duniya main koi fann aisa nahin
hai keh jis main ma’hireen mu’alam aur ustaad ki zarurat na ho.
Deen aik mukamal Ilm hai aur deen main shariyat bhi aik
Ilm hai Aur shariyat mehtarah ke saath tariqat bhi aik Ilm hai. Deen toheed
parast logo’n ke liye aik markaz hai.
Shariyat is markaz ke saath wabastah rehne ke qawaaid o
zawabat aur rehnuma asool hain. Tariqat is markaz par muheet anwaar o
tajaliyaat ke hasool ka zariyah hai.
Jab koi bandah shirk o butt parasti se nikal kar Allah
parast hota hai to wahan bhi isse ustaad ki zarurat pesh aati hai. Musalmaan
hone ke baad shariyat seekhne ke liye bhi ustaad ki zarurat hai. Shariyat main
arkaan namaz, oqaat namaz, rozah ke aadaab, hajj ke aadaab, muasharti qawaneen,
parosiyo’n ke haqooq, Allah ke haqooq aur man hes ulqom musalmano’n ke islami
aqaaid ke mutaabiq farz ki aagahi kai lam haasil karne ke liye bhi ustaad ki
zarurat hai.
Quran kareem Allah ki aakhiri kitaab hai jo aakhiri nabi
syedna Hazoor Aleh As’salaat o Assalaam par naazil hui. Is ko samajhne ke liye
bhi ustaad ki zarurat hai. Isi tarah tasawwuf ya ruhaaniyat seekhne ke liye bhi
ustaad ki zarurat hai.
Ham jab koi Ilm seekhna chahte hain to is baat ka
itiminaan kar lete hain keh Ilm sikhaane wala sahib e Ilm hai. Agar hamein yeh
baat ma’loom ho jaye keh Ilm sikhaane wala woh Ilm nahin jaanta jo ham seekhna
chahte hain to ham is ki shaagardi ikhtiyaar nahin karte.
Ruhaani aloom seekhne ke liye zaruri hai keh insaan jis
shakhs ko murshad banaye is ke baare main tasadeeq kar li jaaye keh ustaad ruhaani
aloom jaanta hai ya nahin?
Ta’leem o tarbiyat ke bager shaoor ki daag bel nahin
parti aur na la’shaoor ki darjah bandi hoti hai. Shaoor aur la’shaoor dono se
muraad ta’leem o tarbiyat ka hasool hai.
Duniya main jab koi cheez peda hoti hai to isse apni zaat
ke ahsaas ke ilawah dusri baato’n kai lam nahin hota.
Insaan ki pedaaish ke baad Allah Ta’lah ne farmaya:
“Aur insaan ko woh Ilm sikhaya jo woh nahin jaanta tha”
Aur Allah Ta’lah ne yeh bhi farmaya hai keh:
“Aur ham ne Aadam koi lam Al’Asma sikhaya hai”
Is ka matlab yeh hua keh insaan ke andar pehla shaoor is
ka Ilm hai.
Misaal: aik shakhs ka naam zed hai lekin zed ka naam zed
ki pedaaish ke baad rakha gaya hai. Pedaaish se pehle is ka koi naam mua’shre
main mu’ta’rif nahin tha. Peda hone ke baad zed main jo pehla shaoor bana woh
maa’n ki qurbat hai ya’ni maa’n ki qurbat bhi Ilm hai.
Bacha maa’n ki qurbat ke Ilm ke baad maa’n ka doodh peeta rehta hai aur
maah wa saal guzarne ki munasbat se shaoor main izafah hota rehta hai aur
shaoori sikat ke mutaabiq maa’n baap aur khaandaan ke afraad zindigi ki
zaruriyaat se muta’liq bache ke andar aloom muntaqil karte rehte hain.
Bail’aakhir bacha walden, khaandaan aur bradari ke
shaoori naqoosh ko qabool kar ke is qaabil ho jata hai keh is ke shaoor main
wusat peda ho jati hai aur phr shaoori wusat ke lehaaz se qom aur aqwaam aalam
ka shaoor bacha ke saath zarab dar zarab ho kar aik shaoor laakho’n shaoor ke
brabar ho jata hai.
Qanoon yeh hai keh : jis shakhs main jitni ziyadah
istdaad zakheerah ho jati hai isi munasbat se woh aalam faazal aur Genious hota
hai.
Lekin yeh baat apni jagah attal haqeeqat hai keh agar
pehle din peda hone wale bache main shaoor na ho aur shaoori istadaad qabool
karne ki silaahiyat na ho to bacha aalam faazal nahin hoga is ki misaal
Handicapped bache hain.
Yeh baat bhi dhoop ki tarah roshan hai keh agar maahol
main asaatizah ka kirdaar na ho tab bhi bacha aalam faazal aur daanishwar nahin
ho sakta.
Ma’hol main asaatizah ke kirdaar ka matlab yeh hai keh ta’leem
o tarbiyat ke liye school, college aur niversitiyaa’n
Mojood hoon. Jis tarah
duniyawi aloom seekhne ke liye school, college aur universitiyo’n ka hona
zaruri hai, isi tarah Ilm taraqiyat,
tasawwuf ya ruhaani aloom seekhne ke liye darasgahain (Khaankai Nizaam) zaruri
hai.
Jab se khaankai nizaam par qadgan lagai gayi hai. Isi
waqt se insaan be sakoon, be chain, pareshan , aids aur cancer jaise mozi marz
ka shikaar ban gaya hai. Is liye keh insaan ka maadi wajood saraand aur ta’fan
ke ilawa kuch nahin hai. Saraand aur ta;fn main imraaz hi peda ho sakte hain.
Duniyawi aloom ke saath saath Quran Paak aur ahdees ki
ta’leem ke mutabiq jismaani wajood ko zindah rakhne wali, saharah dene wali,
rooh ka idraak zaruri hai aur rooh ke idraak ke liye bait ya’ni ruhaani ustaad
ki shgardi zaruri hai. Tasawwuf ka asal asool yeh hai keh rooh (insaanki asal)
noor aur roshiniyo’n se bani hui hai. Jab tak roshiniyo’n ka insaan maadi jism
ko apna ma’mool banaye rakhta hai insaan zindah rehta hai aur jab roshiniyo’n
ka insaan maadi anaasar se bane hue jism ko chhor deta hai to aadimi mar jata
hai.
Ruhaani ustaad, urf aam main jisse murshad kaha jata hai
is qanoon se waqif hota hai aur yeh Ilm
isse apne murshad aur syedna Hazoor aleh Al’Salaat o Assalaam se
muntaqil hota hai.
Ruhaani shaagird ya mureed jab murshad ke halqh main aa
jata hai to mureed ke andar Positive aur Negative roshiniyo’n ka nizaam ba’haal
ho jata hai. Mureed ki roshiniyo’n main muraad lo roshiniyaa’n shaamil ho jaati
hain. Is amal se batdareej ta’fan kam hota rehta hai. Jis munasbat se ta’fan
kam hota hai isi munasbat se lateef roshniyo’n ka zakheerah hota rehta hai.
Mureed hone se pehle zaruri hai keh sheikh ki zindigi ke
ahwaal o amaal se mureeed mut’maeen hua agar mureed aur muraad main zehni ham aahngi
na ho to mureed karna ya mureed hona dono aqal o shaoor ke khilaaf hain.
Mukhtasaran is ka matlab yeh hai keh jab tak muraad aur
mureed dono ke mizaaj main, aadaat o khasaail main, nishat o barkhaast main,
wazah daarri main, tareeqat o shareeyat main puri tarah mutab’qat nahin hogi
bait ka faidah nahin hoga.
Aik jagah bait hone ke baad murshad ki ijazat ke bager
mureed kisi dusri jagah bait nahin hosakta. Murshad ke wisaal ke baad bhi bait
khatam nahin ki ja sakti. Albatah kisi sahib e ruhaaniyat ki sha’girdi
ikhitiyaar ki ja sakti hai. Wisaal ke baad bait ko is liye khatam nahin kiya ja
sakta keh wisaal ke baad bhi ruhaani fez jaari rehta hai.
Ruhaani Ilm
dar’asal warsah hota hai. Ruhaani Ilm
darasal warsah hota hai. Jis tarah sulbi baap olaad ki behtareen
tarbiyat karna apna maqsad e zindigi samajhta hai isi tarah murshad bhi shab o
roz ruhaani olaad ki tarbiyat main mashgol rehta hai. Bari aziyate’n takleefe’n
aur pareshaniya’n bardaasht kar ke apne shagird ke andar ruhaani tarz e fikar
muntaqil karta rehta hai. Shagird ki kota’hiyo’n par sabar karta hai. Is ki
ghalatiyo’n ko muaaf karta hai. Murshad apne shagird ke liye mukamal esaar hota
hai.
Tarbiyat ke do tareeqe hain:
Aik tareeqah yeh hai ke daant dipat kar tarbiyat ki jaye,
gussah kar ke kisi kaam se roka jaaye. Is tarz e amal se tarbiyat to ho jati
hai lekin bande ko jab bhi moqa milta hai aur khof daaman e ger nahin hota woh
is kaam ko zaroor karta hai jis se mana kiya gaya tha.
Tarbiyat ka dusra tareeqah yeh hai keh kotahiyo’n par
sabar kiya jaye aur ghalatiyo’n ko muaaf kiya jaaye. Is qadar muaaf kiya jaaye
keh bandah sharmindah ho kar in kotahiyo’n aur ghalatiyo’n ko chhor de. Aisa
shakhs ghalatiyo’n ko nahin dohraata bal’keh tarbiyat karne wale ustaad se
mohabat karta hai.
Jaa’n nisaari ki aakhiri had tak is ka saath deta hai.
Oliya Allah ne ruhaani ustaad ki jo khasusiyaat biyaan ki
hain woh darj e zel hai:
Haqooq ul ebaad poore karta ho.
Aakhrat ki zindgi par yaqeen rakhta ho.
Allah Ta’lah ke deedaar ka mushtaaq ho.
Kamaal ka dawa na karta ho.
Karamat dikhaane ka shoqeen na ho.
Isse Oliya Allah ki qurbat haasil ho.
Seerat e tayyabah par is ka amal ho aur seerat e tayyabh ke mutabiq apne
shagirdo’n ki tarbiyat kare.
Har haal o qaal main is ka mant’haaye nazar Rasool Allah Sal’lallaho
Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ka akhlaaq husnah ho.
Raaskhoon fil’ilm ho.
Har baat ko man’jaanib Allah samajhta ho.
Is ki majlis main bethne se duniya ki mohabbat main kami aur Allah Ta’lah
ki mohabbat main yaksoi mehsoos hoti ho.
Jo kuch murideen se
chahata ho khud bhi is par amal kare kiyon keh amal ke bager ta’leem ka asar
nahin hota.
Su’aaleh aur mu’alam ho.
Zarurat mando’n ki
darkhawst ko gor se sun kar is ka tadraak kare.
Allah ki makhlooq ki
khidmat karne se khush ho.
Murshad jo kuch Allah ne
diya hai is par dil ki gehraiyo’n se shukar kare aur jo kuch haasil nahin hai
is ka shikhwah na karta ho.
Ilm tareeqat haasil karne
ke liye ishq be had zaruri hai. Allah aur is ke Rasool Sal’lallaho Al’lehi
Wa’Aalehi Wa’sal’lam se ishq ke bager koi musalmaan momin nahin hota.
Allah Ta’lah farmate hain:
“Momineen shid’dat ke sath
Allah se mohabbat karte hain.”
“Ae nabi (Sal’lallaho
Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam) kehe dijiye keh agar tum Allah se mohabbat karte
ho to mera itabaa karo Allah tum se mohabbat kare ga.”
(Surat Al-Imran – Ayat:
31)
Jis se Allah mohabbat
karta hai woh Allah ka mehboob hai. Is se zaahir hua keh Rasool Allah
Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ki itaa’t se bande ko maqam
mehboobiyat atta ho jata hai.
Rasool Allah Sal’lallaho
Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ka irshaad hai keh:
“jis main mohabat nahin is
main emaan nahin.”
Hadees qudsi hai:
Main chhupa hua khazanah
tha, main ne mohabbat ke sath makhlooq ko peda kiya ta’keh makhlooq mujhe
pehchaane.
Bait karne se pehle
murshad ke intikhaab main agar diqat pesh aaye to tasawur karna chahiye keh is
ki qurbat se dil main asar peda hota hai ya nahin ya’ni dil main Allah ki
mohabbat mehsoos hoti ho aur gunaho’n se bezaari.
Hadees
shareef main Oliya allah ki yeh alamat biyaan ki gayi hain:
KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI
Rohaniyat
aur tasawuf ke barey mein logon nay bohat kuch likha hai, aik giroh ka
khayaal hai ke aksar sufia chunkay oon ka libaas pehantay they is liye log
inhen sufi kehte they. Oon ko arabi mein sof kehte hain. Woh log yeh libaas is
liye pehantay they ke sof ka libaas pehnana aksar nabiyo, walyoon aur bargzida
hstyon ka mamool raha hai. Baaz hazraat ke khayaal mein ashaab sufah ke sath
nisbat rakhnay ki wajah se yeh log sufi kehlate hain jabkay aik tabqa ka
khayaal hai ke sufi Safa se mushtaq hai lekin un saari tshrihat se dil mutmaen
nahi hota.