Topics

Jinnaat Ki Gizaa

            Hazoor Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam se logo’n ne jinnaat ki gizaa ke baare main dariyaaft kiya to Aap Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ne farmaaya keh jinnaat gosht ke bajaaye haddi shoq se khaate hain. In ke liye haddi gosht ke qaaim maqam hai aur jaanwaro’n ka fazzlah leedh aur meengi wagerah jinnaat ke jaanwaro’n ka chaara hai. In ke liye fazzlah sabz ghaas ban jaati hai.

            Aik martabah jinnaat ka qqasad jinnaat ka qaasad Aap Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ke paas aaya aur Aap Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ko Quran sunaaya. Phir unho’n ne khaane ke baare main poocha. Aap Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ne farmaaya. Zebah haddi tumhaare liye purgosht kar di jaaye gi.

Musalmaan Jinnaat:

            Jinnaat ne Hazoor Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ki zubaani Quran suna aur emaan laaye aur kufar o shirk se tobah ki. Jinnaat ahkamaat shariya ke mukal’laf hain bohat si aayaat main in ke mukal’laf hone ka zikar hai.

            Jinnaat ke baare main quran hakeem main irshaad hai:

            “aur jab keh ham jinnaat ki aik jamaat ko Aap Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ki tarf laaye jo Quran sunne lage they garz keh jab woh log in ke paas aa pohnche to khehene lage khaamosh raho phir jab Quran parha ja chukka to who log apni qom ke paas khabar pohnchaane gaye aur kaha ae bhaiyo’n ham aik kitaab sun kar aaye hain jo Musa aleh Assalam ke baad naazil ki gayi hai jo pehle naazil hone waali kitaabo’n ki tasadeeq karti hai haq aur raah e raasat ki tarf raah numaai karti hai. Ae bhaaiyo’n! Allah ki tarf bulaane walae ka kaha maano aur is par emaan le aao. Allah Ta’lah tumhaare gunah muaaf kar de ga aur tum ko dard naak azaab se mehfooz rakhe ga aur jo shaks allah Ta’lah ki tarf bulaane waale ka kehna na mane ga who zameen par khush aur mutamain nahin rahe sakta aur khuda ke siwa koi is ka haami nahin hoga aise log sareeh gumraahi main hain.”

            (Surah Ahqaaf – Ayat : 29 – 32)

            Jab yeh waaqiah pesh aaya to manjaanib Allah Aap ko hukam mila keh isse logo’n ko suna den. Aap Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam

Ne yeh surat parh kar sunaai ta keh log jaan saken keh Hazoor Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam jin o inss sab ke liye maboos kiye gaye hain. Tam’maam jinnaat par farz hai keh Allah par emaan laayin aur Allah is ke Rasool ki it’taat Karen aur Allah ke saath kisi ko shareek na tehraauin. Jab Rasool Allah Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam taaif se makah wapis aa rahe they to Aap Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ne khajoor ke bag ke paas qayaam farmaaya. Tehjud ki naflo’n main quran Paak ki tilaawat kar rahe they keh jinnaaat ne quran Hakeem suna aur Aap Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam par emaan le aaye.

Darakht Ki Gawaahi:

            Makah main aik martabah Hazoor aleh Asalaat O Wasalaam ne sahaabah karaam Razi allah Ta’lah ano se farmaya keh tum mian se jo shaks jinnaat se Malaqaat karna chahta hai who Aaj raat mere paas aa jaaye. Ibn E Masood Razi allah Ta’lah anho ke siwa koi nahin aaya. Aa’n’Hazrat  Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam Unhain saath le kar makah ki aik oonchi pahaari par pohnche. Aap Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ne hisaar khench kar farmaya keh tum hisaar se baahir na aana. Hazoor Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ne aik jagah khare ho kar Quran parhna shuru kar diya. Kuch der baad aik jamaat ne aap ko is tarah gher liya keh Aap Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam in ke beech main chhup gaye. Jinnaat ke groh ne kaha keh tumhare pegambar hone ki kon gawaahi deta hai. Hazoor aleh Asalawaat O Assalaam ne farmaya keh yeh darakht gawaahi de ga. Aap Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ne is darakht se poocha. Main kon hoon? Darakhat ne gawahi di keh aap Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam peghambar hain. Allah ke firistaadah bande aur aakhiri nabi hain. Yeh dekh kar saare jinnaat emaan le aaye.


Ahsan o Tasawuf (sufism)

KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI

Rohaniyat aur tasawuf ke barey mein logon nay bohat kuch likha hai, aik giroh ka khayaal hai ke aksar sufia chunkay oon ka libaas pehantay they is liye log inhen sufi kehte they. Oon ko arabi mein sof kehte hain. Woh log yeh libaas is liye pehantay they ke sof ka libaas pehnana aksar nabiyo, walyoon aur bargzida hstyon ka mamool raha hai. Baaz hazraat ke khayaal mein ashaab sufah ke sath nisbat rakhnay ki wajah se yeh log sufi kehlate hain jabkay aik tabqa ka khayaal hai ke sufi Safa se mushtaq hai lekin un saari tshrihat se dil mutmaen nahi hota.