Topics
Har jismaani wajood ke
oopar aik aur jism hai. Is jism ko sufiaa hewala kehete hain. Roohani aankh is
jism ke tol o araz aur jism main tam’maam khado khaal haath, per, aankh, naak,
dimaagh ka bhi mushaidah karti hai. Nah sirf mushaidah karti hai balkeh in ke
andar roshiniyo’n k ethos pan ko bhi mehsoos karti hai.
Takhleeq ka qanoon hamein batata hai keh pehle roshinyon
se bana hua jism takhleeq hota hai. Phir maadi wajood ki takhleeq amal main
aati hai. Lekin dono main thos pan mojood hai. Mufrad leher aisi harkaat ka
majmuwaa hai jo aik simat se dusri simat main jaari o saari hai. Aik simat se
dusri simat mufard lehre’n aik dusre main pewast ho jayin aur is ke oopr naqsh
o nigaar ban jayin to is ka naam jin aur jinnaat ki duniya hai. Lekin agar
murakab lehre’n aik dusre main pewast ho jaayin is tarha ke pewast bhi rhen aur
faasilah bhi khatam nah ho aur is bisaat par naqsh o nigaar ban jaayin to is ka
naam insaan aur insaan ki duniya hai. Matlab yeh hua keh mufarad lehero’n ke
oopar naqsh o nigaar ya’ni aankh, naak,k aan, haath per wagerah jinnaat ki
duniya hai aur murakab lehero’n par naqsh o nigaar ya’ni haath per aur dusre
aa’zaa agar naqsh hoon to insaano’n ki duniya hai.
Duniya main jis tarah insaan ke ilawah beshumaar
makhlooqaat hain. Isi tarah jinnaat ki duniya main bhi zameen, aasmaan, chaand,
suraj, sitaare aur tam’maam makhlooqaat mojood hain. Farq yeh hai keh insaan
murakab lehron ki takhleeq hai. Jabkeh jinnaat mufarad lehero’n sy bane hue
hain. Jis tarah murakab lehere’n ki takhleeq main paanch hisse’n kaam karti
hain. Isi tarah mufarad lehero’n ki makhlooq main bhi paanch hisse’n kaam karti
hain. Jinnaat bolte bhi hain, jinnaat sunte bhi hain, jinnaat ki duniya main
kheti baari bhi hoti hai aur jinnaat ki duniya main saainsi eejadaat bhi hoti
rehti hain. Jinnaat ki duniya main school , college aur universatiyan bhi hain.
Jinnaat ki duniya hamaari zameen ke globe ki hadood main
hai aur zameen se taqreeban das laakh chhapan hazaar fit oopar kha’la main hai
is ki misaal yeh hai keh bohat bari zameen ke raqbbe par so manzilah amaarat
par chat daal di jaaye aur chat is tarah banai jaaye keh is ke oopar khti baari
ki jaaye. Koi makaan ta’meer kar diya jaaye, phool phuwaari lga di jaaye aur
wahan makhlooq aabaad ho. Chat par mojood makhlooq ko nah to zameen se insaan
dekh sake aur na hi chat par se jinnaat insaan ko dekh sakein.
Insaani duniya main maa’n ke batan se bachah nau maah
main peda hota hai aur jinnaat ki duniya main maa’n ke batan se insaani adaad o
shumaar ke mutaabiq nau saal main peda hota hai. Is hi andazah ke mutaabiq
jinnaat ki umar’en hoti hain.
Jinnaat aur insaan dono muakalaf makhlooq hain. Dono
duniyaawi aloom ki tarah roohaani aloom seekh sakte hain. Allah Ta’lah ne quran
Paak main do mukalaf makhlooq ka tazkirah kiya hai.
“Ae groh jinnaat aur groh insaan! Tum zameen aur aasmaan
ke kinaaro’n se nikal kar dikhaao, tum nahin nikal sakte magar sultan se.”
(Surah Al’Rehman – Ayat : 33)
Sultan ka matlab roohaani silaahiyate’n hain. Agar koi
insaan ya jinn roohani silahiyat ko bedaar aur mutahrak kar le to aasmaan aur
zameen ke kinaaro’n se nikal kar geb ki duniya ka mushahidah kar sakta hai.
Jitney bhi anbiyaa tashreef laaye in sab ki ta’leemaat ka
haasil yeh hai keh insaan maadi wajood main rehte hue Allah Ta’lah ka Irfan
haasil kare aur Allah ka Irfan haasil karne ke liye geb ki duniya main daakhil
hona zaruri hai jo sultan (Rooh) ke Zariah mumkin hai. Yeh is liye mumkin hai
keh rooh azal main Allah ki aawaaz sun chuki hai. Allah ko dekh chuki hai aur
pure hosh o hawaas ke saath Allah ko dekh kar Allah ki rabubiyat ka iqraar kar
chuki hai.
KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI
Rohaniyat
aur tasawuf ke barey mein logon nay bohat kuch likha hai, aik giroh ka
khayaal hai ke aksar sufia chunkay oon ka libaas pehantay they is liye log
inhen sufi kehte they. Oon ko arabi mein sof kehte hain. Woh log yeh libaas is
liye pehantay they ke sof ka libaas pehnana aksar nabiyo, walyoon aur bargzida
hstyon ka mamool raha hai. Baaz hazraat ke khayaal mein ashaab sufah ke sath
nisbat rakhnay ki wajah se yeh log sufi kehlate hain jabkay aik tabqa ka
khayaal hai ke sufi Safa se mushtaq hai lekin un saari tshrihat se dil mutmaen
nahi hota.