Topics
Jinnaat ki duniya main
arbo’n ki ta’daad main musalmaan jinnaat hain. Jis tarah musalmaan namaz,
rozah, hajj, zakat ada karta hai. Isi tarah jinnaat ki duniya main bhi
musalmaan khawateen o hazraat namaz, roza, hajj, zakat ke faraaiz pure karte
hain.
Koi shaks yeh etraaz kar sakta hai keh jinnaat nazar
kiyun nahin aate to ham yeh sawaal karne ki juraat karte hain kej insaan ko
virus kiiyun nazar aata? Becteria kiyun nazar nahin aata? Lekin agar koi
Sensitive Device bana li jaaye to is se becteria ya virus ka idraak ho jaata
hai. Is tarah agar insaan mufarad lehro’n kai lam haasil kar le to who jinnaat
ki duniya ko dekh sakta hai.
Quran Hakeem main irshaad
hai:
“ Kaafir aur mushrik
jinnaat jahanm ka eendhan hain.”
(Surat Jinn – Ayat :15)
“Mat’taqqi logo’n ke liye
Jannat qareeb kar di gayi hai.”
(Surat Jin – Ayat : 14)
Rasool Allah Sal’lallaho
Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ne surah Rehman Sahabah Razi Allah Ta’lah anho ke
saamne tilaawat farmaai. Sahabah karaam Razi allah Ta’lah anho Khamosh Rahe To
Aap Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ne farmaya keh tum se acha jawaab
jinnaat ne diya tha jab yeh aayatein tilaawat ki thee’n.
“ Ae jinn o ins! Tum apne rabb ki kon kon si nemato’n ke mankar ho ge.”
( Surah Rehman – Ayat :
16)
To kahete they keh:
“Ae Rabb tam’maam
ta’reefe’n tere liye hain ham teri kisi nemat ki na’shukri nahin karte.”
Hooro’n ke baare Quran
hakeem main irshaad hota hai:
“ aur in logo’n se pehele in par nah to kisi aadimi ne tas’raf kiya hoga
aur nah kisi jnn ne.”
(Surah Rehman – Ayat : 56)
KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI
Rohaniyat
aur tasawuf ke barey mein logon nay bohat kuch likha hai, aik giroh ka
khayaal hai ke aksar sufia chunkay oon ka libaas pehantay they is liye log
inhen sufi kehte they. Oon ko arabi mein sof kehte hain. Woh log yeh libaas is
liye pehantay they ke sof ka libaas pehnana aksar nabiyo, walyoon aur bargzida
hstyon ka mamool raha hai. Baaz hazraat ke khayaal mein ashaab sufah ke sath
nisbat rakhnay ki wajah se yeh log sufi kehlate hain jabkay aik tabqa ka
khayaal hai ke sufi Safa se mushtaq hai lekin un saari tshrihat se dil mutmaen
nahi hota.