Topics
Do makhlooq mukalaf hain
aur aik makhlooq ger mukalaf hai.
Har makhlooq ke afraad
libaas pehnete hain. Har makhlooq ke azaa haath aur per sab hain lekin
khadokhaal aur naqoosh main farq hai.
Aik makhlooq ki aankh
makhruti hai , naak chipti aur khari hai, chehrah kitaabi ya gol hai.
Dusri makhlooq ki aankhein
badaam ki hain. Aankh ki putli main gehre rang ked ore hain, sutwaan naak kin
ok gaayib hai, cheherah bewazi aur sar kashkol ki tarah hai.
Teesri makhlooq ki aankh
mashroom ki tarah gol hai, naak guldastah ki tarah hai. Cheherah poore chaand
ki tarah gol hai aur is makhlooq ka sar saanp ke sar se mushabah hai.
Aik makhlooq qad main
barah se solah fit daraaz ya is se bhi ziyadah lambi hai.
Dusri makhlooq afwaan
shabaab ki umar main nazar aati hai. Qad mutwaazan hai.
Teesri makhlooq paanch se
chhe fit ko taah ya daraaz hai aur jism roshiniyon ka muraqah hai.
Aik makhlooq ke jism main
double barqi ro dorti hai.
Dusri makhlooq ke jism
main akhari barqi ro dorti hai.
Teesri makhlooq aisi
roshini se murakab hai jise roshini nahin kaha ja sakta.
Aik makhlooq ke hawaas
mehdood
Dusri makhlooq ke hawaas
mehdoodiyat main la’mehdood.
Teesri makhlooq ke hawaas
la’mehdood.
Aik makhlooq aik ghante
main teen meel pedal musafat te karti hai.
Dusri makhloooq aik ghante
main pedal sataayis meel chalti hai.
Teesri makhloooq ki
parwaaz aik so assi hazaar (180) meel hai.
Pehli makhlooq anaasir
(maadiyat) ke khol main band hai.
Dusri makhlooq roshini ke
khol main band hai.
Teesri makhlooq ( aik
laakh chhiaaysi hazaar do so biaasi meel fi second – (186282) ) roshini ki
raftaar main muqeed hai.
Aik makhlooq ki bisaat
zameen, dusri makhloooq ki bisaat khal’la, teesri makhlooq ki bisaat samawaat
aur bet ul mamoor hai.
Aik makhlooq ko khane aur
peene ki ishtiha ko pura karne ke liye araba anasir ki zarurat hai.
Dusri makhlooq ki ishtiha
puri hone main phosphorus ka amal dakhal hai.
Teesri makhlooq main
ishtiha ka taqazaah be rang roshiniyo’n se pura hota hai.
Khal’la aik taana baana hai is taane bane main makhlooq
naqsh hai. Jese kapre par embriodery ya qaaleen par sher buna hua hai hota hai.
Khal’la ka dusra rukh mehz taana hai is par bhi makhlooq ke khado’khaal naqsh
hain. Khal’la ka teesra rukh aisi lehro’n se murakab hai jis main taana baana
nazar nahin aata.
Teeno makhlooqaat main lamas ka ahsaas hai, khush hone
aur na’khush hone ke jazbaat hain lekin yeh ahsaas kahein bhaari aur kahein
lateef hai, jahan bhaari aur bohat bhaari hai,
Wahan kashish saqal hai.
Jahan halka hai wahan kashish saqal to hai lekin kashish saqal khal’la ka safar
karne main mazaham nahin hoti, jahan lataafat hai wahan kashish saqal (Gravity) Khatam ho jati hai.
Teeno’n makhlooqaat main
har makhlooq ke andar lateef his majood hai sirf darjah bandi ka farq hai.
Aik makhlooq ke oopar kasaafat
ka pardah ziyadah hai.
Dusri makhlooq par
kasaafat ka pardah kam hai.
Teesri makhlooq par
kasaafat ka pardah nahin hai.
Daono makhlooqaat teesri
makhlooq ki tarah kasaafat ke parde aur ta’reeki ke khol se khud ko aazaad kar
den to woh apne andar Allah ka noor dekh leti hain.
Quran hakeem main hai:
“Allah Assamaano’n aur zameen ka noor hai is noor ki
misaal aisi hai jaise taaq main main chiraag, chiraag sheeshe ki qandeel main
hai. Qandeel goya keh moti ki tarah chamakta hua sitarah hai. Zetoon k embark
drakht se roshan kiya jata hai. Na shaqi hai na garbi, qareeb hai keh roshan ho
jaye agarcheh aag ne isse na chhuwa ho, noor ala noor hai. Allah jise chahta
hai apne noor ko dikha deta hai aur Allah logo’n ke liye misaale’n biayaan
karta hai aur Allah har cheez ko jaanne wala hai.”
( Surat Noor – Ayat : 35)
Roohani musaafir (Saalik) jab rastah ke nasheeb o faraaz se guzarta hai to is ky shaoor main aik jhamaka hota hai aur is ki baatini aankh khl jati hai.
Tasawwuf rehnumaai karta hai keh Allah se dosti ki shart
yeh hai keh bandah woh kaam kare jo Allah ko pasand hai. Acha insaan wohi kaam
kar ke khush hota hai jis se Allah khush hota hai.
Har aadimi ke saath hazaar farishte huma waqt kaam karte
hain. Is ki misaal yeh hai keh har aadimi Allah Ta’lah ka Computer hai jis mian
bees hazaar chips hain. Aik chip bhi kaam na kare to pure nizaam main khalal
par jata hai.
Insaani dimaag main do kharab cells hain har cell kisi na
kisi his ( Sense) kisi na kisi az’zu, kisi na kisi Tissue, kisi na kisi
shariyaan aur rag patho’n se mutaliq hai. Do kharab main aik cell bhi mutaasir
ho jata hai to insaani jism par is ke manfi asraat muratab hote hain.
Hawa naak ya moonh ke zariye jism main jaati hai aur
mukhtakif naaliyo’n se guzarti hui pure jism main daakhil hoti hai jaise jaise
hawa aage barhti hai haw aka dabaao ziyadah hota rehta hai aur in naaliyo’n ka
qat batdareej chhota ho jata hai aur phepharo’n main mojood teen million
theliyo’n main hawa ponch jati hai. Ham kaano’n se sunte hain, aawaaz ki lehren
kaan main daakhil hoti hain. Kaan ke pardah par baalo’n ki zarb se peda hone
waali goonj main ham mayni pehnaate hain.
Allah Ta’lah ki sanaai main insaan jis tarf bhi mutawajo
hota aur Allah ki nishaaniyo’n main tafa’kur karta hai is ke ooper ajaaibaat ki
duniya roshan ho jaati hai. Jism ke andar wareedo’n aur shariyaano’n main dorne
wala khoon chobees ghante main pichhatar hazaar meel safar karta hai. Aadimi
aik ghante main teen meel chalta hai. Agar woh musalsal bager waqfe ke 26
hazaar 380 ghante chalta rahe. Tab 75 hazaar meel ka safar poora hoga.
Allah ne insaan ke iradah wa ikhtiyaar ke bager jism ko
mutehrak rakhne ke liye dil ki duty laga di hai keh phelne aur sukarne ki
silahiyat se saare jism ko aur jism ke aik aik azzu ko khoon faraham karta
rahe.
Sab ta’reefe’n Allah Rabb ul Aalmeen ke hain.
Jo aalmeen ki khidmat karta hai.
Jo aalmeen ko rizq deta hai.
Jo aalmeen main aabaad
makhlooq ko zindah rakhne ke liye aur marne ke baa’d ki zindgi ke liye wasaail
faraham karta hai.
Tasawwuf ke taalib Ilm ko
murshad batata hai keh jab bandah ka Allah se ta’luq qaaim ho jaata hai to is
ke andar Allah ki sifaat muntaqil ho jati hain. Khalaq khuda ki khidmat Allah
ka zaati wasaf hai jo bandah makhlooq ki khidmat karta hai filhaqeeqat is ne
woh kaam shuru kar diya hai jo allah kar roa hai. Jitna ziyadah makhlooq ki
khidmat main inhimaak barhta hai is hi munaasbat se bandah Allah se qareeb ho
jaata hai. Koi nabi, koi sufi ya wali aisa nahin hai jis ne nihayat khush dilli
ke saath Allah
Ki makhlooq ki khidmat na ki ho.
Sufi apne shaagirdo’n ko
batata hai.
Makhlooq ki khidmat Allah
ki pasandeedah aadat hai.
Sufi bila imtiaaz mazhab o milat se
mohabat karta hai.
Jo bandah makhlooq se
nafrat karta hai aur ta’firqah daalta hai woh Allah ka dost nahin hai.
Allah ka dost khudgarz
nahin hota.
Allah ka dost khush rehta hai aur woh sab ko khush dekhna
chahata hai. Sufi talqeen karta hai keh aisi baato’n se Allah khush hota hai
jin baato’n main khaloos niyat ho, akhwat ho, hamdardi ho. Eesaar ho.
Rasool Allah Sal’lallaho
Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ne farmaya hai:
“Momin ki farasat se daro keh woh Allah ke noor se dekhta hai”
Momin main aisi farasat kaam karti hai jo noor ki duniya ka mushahidah
karti hai.
Jarri botiya’n, phal,
phool aur pode bhi makhlooq hain. Jis tarah insaan ki pedaish marhalah waar
prosis se hoti hai is tarha nabataat, jamadaat ki hayaat o mumaat bhi marhalah
waar prosis par qaaim hai. Allah ne kainaat main har she ko jore jore banaya
hai.
Ya’ni har she ke do rukh hain… aur har rukh miqdaaro’n (
khaliyo’n) se murakab hai. Har khaliya ki berooni deewar main Oxigen, hydrogen
aur carbon ka amal dakhal hai.
Har shae ki buniyaad paani hai, paani ke oopar hi
takhleeq ka daar o madaar hai, paani na ho to zameen be aab o giyaah banjar ban
jaati hai. Insaan, jinaat, podo’n, darakhto’n aur dusri tamaam makhlooqaat ki
nasho numa ke liye nami, hawa aur garmi ka hona zaruri hai. Phosphorus, potashium
aur naytrogan na ho tab bhi nasho numa nahin hogi aur yeh sab cheeze’n qudrat
ne paani main jama kar di hain.
Darakhto’n main agar patte
na hoon to darakhto’n ki zindigi makhdoosh ho jaati hai. Har patte main gas
hoti hai, masamaat hote hain, in masamaat main carbon khoon ki tarah dorta hai
aur yehi masamaat Oxgen ko bahir nikaalte hain.
Patto’n ki aik puri duniya hai. Patte darakht ko zindah
rakhte hain aur yehi patte agar beemaar ho jaain to darakht m beemaar ho jaata
hai. Yehi patte jab zameen par girte hain to zameen ke oopar nabataat ke liye
khaad ka kaam dete hain. Insaan ke paas aisi koi taaqat nahin hai keh wo itni
bari zameen par khaad daal sake, bearish barasti hai, bijili karakti hai,
bijili ki karak se bearish ki boondon se kheton ko besh baha naytrogen muhaya
hoti hai. Allah Ta’lah farmate hain keh:
“Aur tamaam jaandaar cheeze’n ham ne paani se banae’n.
Phir yeh log eemaan kiyun nahin laate.”
( Surat Anbiya – Ayat : 30)
“ Aur woh aisa hai jis ne aasmaan se paani barsaya, phir ham ne is ke zariyah se har qisam ke nabataat ko nikaala. Phir ham ne is se sabz shaakh nikaali keh is se ham oopar tale daane charhe hue nikaalte hain aur khajoor ke darakhto’n se ya’ni in ke guchhe main se khoshe hain jo bojh se neeche ko latake huwe hain aur is hi paani se ham ne angoor ke bag aur zetoon aur anaar ke darakht peda kiye hain jo aik dusre se milte julte hain aur aik dusre se milte julte nahin hain. Har aik ke phal ko to dekho jab woh phalta hai aur phir is ke pakne ko dekho… in main nishaaniya’n hain un logo’n ke liye jo yaqeen rakhte hain.”
(surat inaam – Ayat : 99)
“Aur wohi hai jis ne tumhare waste aasmaan se paani
barsaya. Jis ko tum peete ho aur is darakht se seeraab hote hain. Aur is paani
se tumhare liye kheti aur zetoon aur khajoor aur angoor aur har qisam ke phal
peda karta hai. Beshak is main tafakkur krne ke liye daleel hai.”
(Surat nehal – Ayat : 10-11)
“Aur woh Rab aisa hai js ne tum logo’n ke liye zameen ko
farsh banaya aur is main tumhare waste raaste banaye aur aasmaan se paani
barsaaya phir ham ne is hi paani ke zariyah se mukhtalif aqsaam ke nabataat
peda kiye ta ke tum khud bhi khaao aur apne jaanwaro’n ko bhi khilaao. In
cheezon main aqal waalo’n ke liye nishaaniyaa’n hain.”
(Surat Taha – Ayat : 53-54)
“Aur ham ne insaan ko
matti ke johar se peda kia phir isse nutfah bana kar mehfooz jagah main qaraar
de diya. Phir nutfah
(paani ki phatki) ko ham
ne jamme hue khoon ke lothre ko gosht ka tukra kar diya.”
(Surat Mominoon – Ayat : 13-14)
“Phir is ki nasal haqeer
paani ke nichor se peda ki.”
(Surat Al’Sajdah – Ayat :8)
“Kiya ham ne tum ko haqeer
paani ken ichor se peda nahin kiya.”
(Surat Al’mursalaat – Ayat : 20)
“Woh uchalte hue paani se
peda hua.”
(Surat Al’Tariq – Ayat : 6)
Allah Ta’lah farmaate hain:
“Aur yeh jo bohat si rang birangi cheeze’n is ne tumhare
liye peda kar rakhi hain in main nishaani hai in logo’n ke liye jo samajh boojh
se kaam lete hain.”
(Surat Al’nahl – Ayat : 13)
Tasawwuf kai lam hamari
rehnumaai karta hai keh duniya main har cheez rangeen hai. Aur aik dusre ke
liye lazam wa malzoom hai, har cheez dusri cheez ke liye esaar kar rahi hai,
phoolo’n main rang wa boo, bhanware aur makhiyo’n ko apni tarf khenchti hai.
Anjeer ke andar aik zojeen chhota sa gunchah hota hai, aik khaas qisam ki bhar
guncho’n main andde de jaati hai, jab bache nikalte hain to nar anjeer maadah
anjeer main chale jaate hain.
Baa’z bele’n barahraast zameen se giza haasil nahin
kartin balkeh dusre darakhto’n k eras par palti hain aur yeh darakht raftah
raftah khushk ho jate hain, darakhto’n ki jarre’n kiyun keh paani jazab kar
leti hain is liye zameen par daldal nahin banti, fiza jab darakhto’n ke saans
se bhar jaati hai to baadal wazni ho kar barasne lagte hain.
Registaan main agar be shumaar baans khare kar diye
jaae’n aur in baanso’n ko mukhtalif rango’n se rang diya jaaye to qanoon yeh
hai keh registaan main bearish barse gi aur jab tak
Yeh baans lage rahen ge
bearish barasti rahe gi ta aankeh registaan nakhlistaan aur jangal main tabdeel
ho jaaye.
Heewanaat ki zindigi ka daar o madaar Oxgen par hai aur
nabataat ki zindgi ka inhisaar carbon par hai. Agar oxgen kam ho jaye to
heewanaat hilaak ho jayein ge aur carbon ka zakheerah na rahe to nabataat fana
ho jayein ge. Yeh Allah ka banaya hua nizaam hai. Aur aik aisa Ilm hai jisse
insaan ko wadiyat kar diya gaya hai. Puri kainaat Allah Ta’lah ka kunba hai aur
is kunba ka har fard dusre fard se ham rishtah hai, har shey dusri shey ke kaam
aa rahi hai. Har shey khoraak ban kar dusri shey ke liye esaar kar rahi hai.
Zameen ke oopar mojood makhlooqaat ki yeh bohat mukhtasar
roidaad is liye likhi gayi hai keh hamare andar tafakur peda ho, ham yeh dekh
sakein aur samajh saken aur is baat par yaqeen Karen keh nizaam kaainaat main
yeh qadar mushtarak hai keh har cheez dusri cheez se aik makhfi rishte main
bandhi hui hai aur yeh makhfi rishta aisa mazboot rishta hai keh makhlooq main
se koi aik fard bhi is rishte se inkaar nahin kar sakta aur na is rishte ko tor
sakta ai, jab tak koi shey dusri shey ke kaam aa rahi hai is ka wajood hai
warnah wo shey mit jaati hai. Yeh pura nizaam hai jo zameen main, paani ki
duniya main, fiza main, khala main , aasmaano’n main, insaano’n main aur
tam’maam makhlooqaat main jaari hai.
Qudrat yeh bhi chahti hai keh zameen ka koi khitta koi
hissah qudrat ke fez se mehroom na rahe. Insaan darakhto’n ki
Khidmat karta hai aur
darakht insaano’n ki khidmat par maamoor hain. Insaan heewanaat ki hifaazat
karta hai aur heewanat insaano’n ke kaam aate hain.
Hawa beejo’n ko apne dosh par utha kar door daraaz
maqamaat tak pohnchaati hai. Dariya, nadiyaa’n, naale beejo’n aur jarro’n ko
zameen ke har khitte tak pohnchaate hain. Yehi qanoon qomo’n ke arooj o zawaal
main bhi naafaz hain. Jab koi qom is system se tajawaz karti hai aur eesaar se
kaam nahin leti to qudrat isse fana kar deti hai.
Quran hakeem main irshaad hai:
“ Agar tum ne kainaati system se moonh pher liya to yeh
zameen kisi aur ke qabzah main de di jaye gi.”
Zameen par sirf wohi qome’n baaqi rehti hain jo mazaahir
fitrat ke jaari wa saari qanoon se waqif hain aur herat angez takhleeq aur
nizaam aafareenash ka mutaleah karti hain, sab se bara zulam aur jahalat yeh
hai keh kisi qom ko yeh ma’loom na ho keh aasmaani duniya ka mushaidah kiye
bager koi qom kainaati system se waqif nahin hoti.
Zameen ke khazaano’n ko istemaal kiye bager qom zindah
nahin rehti, zameen ke khazaano’n ke istemaal ka amal aur tareeqah quran main
tafakkur (Concertration aur muraqbah) karna hai.
Hazrat Ibrahim
aleh Assalaam ne kainaat main tafakkur aur Allah whdah la shareek ki paratish
ko apni olaad aur ummat ke liye farz qaraar diya hai.
Allah Ta’lah farmaate hain:
“Main tujhe banana wala hoon insaano’n ke liye imam.”
“Teri olaad main se zaalim log mehroom ho jayin ge.”
(Surat Al’Baqrah – Ayat : 124)
Aaj ka dor khud garzi, maslihat koshi aur afratafri ka
dor hai. Bila’shubah deen ko qom ke liye bhool bhaliyaa’n banana wale log
zaalim aur sarkash hain. Seedhi si baat yeh hai keh khaaliq ne makhlooq ko peda
kiya hai. Khaaliq ne zindah rehne ke liye wasaail atta kiye hain. Marne ke ba’d
ki zindigi par bhi allah ki haakmiyat hai.
Jis bande ka dili ta’luq Allah se qaaim
ho jata hai. Woh siraat e mustaqeem par gaamzan hai aur siraat e mustaqeem par
gaamzan khawateen o hazraat allah ke dost hain. Jinhain na khof hota hai aur na
gham.
Allah ki kitaab jo Allah ke mehboob Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi
Wa’sal’lam par naazil hui. Jis main la’reb, shak nahin. Jo kitaab roshan
daleelo’n ke saath hadayat hai mataqi logo’n ke liye jis kitaab ka har har lafz
noor hai, yeh noor insaan aur khaaliq ke darmiyan ta’luq qaaim karta hai. Yehi
noor zameen o aasmaan ki kunah hai jab koi insaan quran o hadees ki roshni main
tasawwuf ke tareeqah par is noor ko talaash karta hai to Allah is noor ki
hadayat deta hai jisse chahe.
KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI
Rohaniyat
aur tasawuf ke barey mein logon nay bohat kuch likha hai, aik giroh ka
khayaal hai ke aksar sufia chunkay oon ka libaas pehantay they is liye log
inhen sufi kehte they. Oon ko arabi mein sof kehte hain. Woh log yeh libaas is
liye pehantay they ke sof ka libaas pehnana aksar nabiyo, walyoon aur bargzida
hstyon ka mamool raha hai. Baaz hazraat ke khayaal mein ashaab sufah ke sath
nisbat rakhnay ki wajah se yeh log sufi kehlate hain jabkay aik tabqa ka
khayaal hai ke sufi Safa se mushtaq hai lekin un saari tshrihat se dil mutmaen
nahi hota.