Topics
Hazrat Umar ibn e khataab Razi Allah Ta’lah Anho se
rawayat hai keh:
Aik roz achanak jibrail Aleh Aslaam bah Surat insaan
Rasool Allah Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ki khidmat main haazir
hue aur do zaanu mo’dab beth kar chand sawaal kiye.
Ae Muhammad Sal’lallaho
Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam bataiye keh islam kiya hai?
Rasool Allah Sal’lallaho
Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ne farmaya:
Islam yeh hai keh tum is
baat ki gawaahi do keh Allah ke siwa koi ma;bood nahin aur yeh keh Muhammad
Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam Allah ka Rasool hai aur qaaim karo
salaat aura da karo zakat aur ramzaan ke roze rakho aur bet’allah ka hajj karo.
Agar safar kharch ki istiaat ho.
Jibraail Aleh Aslaam ne
kaha,
Sahi farmaya Aap
Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ne.
Hazrat Jibraail Aleh Aslaam ne kaha: Ya Rasoll Allah
Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ! Emaan kiya hai?
Aap Sal’lallaho Al’lehi
Wa’Aalehi Wa’sal’lam Ne Faramaya keh : Emaan laao Allah par aur is ke farishton
par aur is ki kitabo’n par aur is ke rasoolo’n par aur qayamat ke din aur emaan
laao is ki taqdeer par bhali ho ya buri.
Jibraail Aleh Aslaam ne
farmaya: Sach farmaya Aap Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ne.
Hazrat Jibraail aleh Aslaam ne poocha : Ahsaan kiya
hai?
Aap Sal’lallaho Al’lehi
Wa’Aalehi Wa’sal’lam ne farmaya: Ahsaan yeh hai keh tu Allah ki ebaadat is
tarah kar keh goya Allah ko dekh raha hai aur agar aisa na kar sake to is tarah
ebadat kar ke goya Allah tujhey dekh raha hai.
Jibraail aleh Asslaam ne
kaha:
Sach farmaya Aap
Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ne
(Ta’leem Gosiyah)
Hazrat Jibraail aleh Asslaam ke is istisfaar main
teen teen ba’tor e khaas fikar talab hain.
Islam kiya hai?
Emaan kisse kahete hain?
Aur ahsaan kiya hai?
Allah Wahadah Lashareek ko aik maan lena aur isi ko
bar’haq ma’bood samjhna islam hai. Shariyat mutehrah par bila chhon wa chara’n
amal karna, yehi aman aur salaamti ka raastah hai.
Emaan yeh hai keh amaal o ashgaal ke natieejay main aisa
yaqeen haasil ho jaye jis main shak o shaibah na rahe. Emaan yaqeen hai aur
yaqeen mushahidah e mashroot hai. Koi adaalat eni shahadat ke bager gawaahi
qabool nahin karti.
Ahsaan ka matlab yeh hai keh bandah Allah ko dekh kar
ebadat kare ya bandah is kefiyat main ho keh Allah use dekh raha hai. Yaqeen ke
is darjay ko tasawwuf main martabah ahsaan kahete hain. Agar aadimi islaam
qabool nahin kare ga to musalmaan nahin hoga aur agar musalmaan ki dolat se
maala maal nahin hoga to momin nahin hoga aur momin ki shaan yeh hai keh woh
Allah ko dekhta hai ya woh is bat ka mushahidah karta hai ke Allah use dekh
raha hai.
Ulma is hadees shareef ki tashreeh is tarah karte hain :
Islam yeh hai keh shariyat ke aadaab o ahkamaat kai lam
ho aur is par amal kiya jaye. Emaan yeh hai keh allah par aet’qaad rakha jaaye
keh is ki zaat o sifaat aur is ke farishte Allah ke farman ke mutabiq bar’haq
hain.
Farishte Allah ke farman bardaar hain aur ham is ki
kitabo’n par emaan laate hain keh yeh is ka kalaam qadeem hai jo is ne apne
rasoolo’n par naazil farmaya aur rasoolo’n ko Allah ne makhlooq ki hadayat ke
liye bheja hai. Woh ma’soom o gunaho’n se paak hain aur ham emaan laate hain
qayamat, behshat dozakh ke azaab o sawaab par.
Ahl e tasawwuf is hadees shareef ki tashreeh yeh karte
hain:
Islam qabool kar ke , ahkaam shariyat par puri tarah amal
kar ke geb ki duniya main farishto’n ko dekhna aur Allah Rabb ul izzat ke
saamne hazoor e qalb se haazir hona hai.
Jaanna chahiye keh yeh maqam shaood o mushahidah hai aur
yeh keh Allah mujhey dekh raha hai. Yeh maqam muraqbah hai is muraqbah main
bandah Ilm ilaahi se aagaahi haasil karta hai.
(Mushahidah Haq)
Allah Ta’lah farmaate hain:
“An’qareeb ham unhain apni nishaniyan aafaaq main aur
khud in ken afoos main dikhlaaein ge.”
Hazrat Rabia Basri (R.A) ne baargah e illahi main
arz kiya. Ae Allah! Agar main teri ebadat dozakh ke khof se karti hoon to mujhe
is main jhonk de aur agar main tere hazoor Jannat ki lalach main sajdah karti
hoon to mujhe is Jannat se mehroom kar de aura gr main sirf teri zaat ke liye
teri ebadat karti hoon to, tu mujhe apne deedaar se nawaaz de.
(Aik Sau aik Oliya Allah
Khawateen)
Zahid o aabid dozakh se nijaat aur jannat ki abdi
ne’matein haasil karne ke liye ebadatein karte hain sufiya ke oopar bhi ebaadat
farz hai lekin woh ebadat main humah waqt Allah ki tarf mutawajo rehete hain,
wo sirf is liye Allah ke sath wabastah rehte hain keh in ki zindagi ka maqsad
Allah ke ilawa dusra nahin hota. Woh Allah se Allah ko maangte hain.
Insaan ki aqal aur ruhaani zindagi main tasawwuf ki
ahmiyat ka andazah mashoor falsafi Bartarendarsal ki is tehreer se hota hai:
“ Duniya main jis qadar azeem fasafi guzre hain sab ne
falsafh ke sath sath tasawwuf ki zarurat ka aet’raaf kiya hai. Unhon ne kaha
keh duniyaye afkaar main intihaai buland maqam sirf science aur tasawwuf ke
itihaad se ho sakta hai aur behtareen insaani khubiyo’n ka izhaar tasawwuf ke
zariyah hi mumkin hai.”
Bartarendarsal ne Hasb e
zel falaafah ke naam bator misaal ke pesh kiye hain, Rakilitos, Parmenides,
Plato, Spinoza, Bruno, Hegel, Bergson aur Whitebeds wagerah. Flaasfah ne
tasawwuf ki ahmiyat par maqaale likhe hain. Tasawwuf kiya hai, tasawwuf
Khaaliq aur makhlooq ke
ta’ruf ka zariyah hai.
Tasawwuf saalik ke oopar yeh haqeeqat puri tarah waazeh
kar deta hai keh insaan ka maadi jism aur maadi jism ke tam’maam taqaze rooh ke
ta’beh hain.
Rooh ke bager maadi jism Dead Body hai.
Tasawwuf maz’hab ki rooh hai.
Maz’hab kiya hai?..... Maz’hab apne peer o kaaro’n main
yaqeen peda karta hai keh mujhe Allah dekh raha hai.
Maz’hab sha’oor atta karta hai keh rizq Allah deta hai,
main jo kuch kharch karta hoon , woh Allah ka diya hua hai.
Maz’hab….. Insaan ko siraat e mustaqeem par qaaim rakhta
hai.
Jab koi insaan maz’habi arkaan pure karta hai to woh rooh
ki haqeeqat se ba’khabar ho jata hai aur yuminoon bil’geb ke zone main daakhil
ho jata hai.
…….Maz’hab masawaat ka daras hai aur apne peer o kaaro’n
main yaqeen peda karta hai keh Allah har waqt har jagah haazir wa naazir hai.
……Sacha aadimi kisi ki haq talfi nahin karta.
……Allah ki rassi ko mutehad ho kar maz’booti se pakarne
aur tafirqe se bachne ke liye maz’hab aik plate farm hai.
Maz’habi daanish’war kehta hai Ae
musalmaan allah se darr.
Sufi keheta hai! Ae
musalman khaali zuban se Allah ka naam na le… munafaqat ka khel na khel, dil ke
raaste yaqeen ki duniya main utar ja. Allah se mohabbat kar… aur Allah ko khush
karne ke liye gunaho’n se ijtinaab kar.
Har Insaan kisi na kisi
aqeedah par qaaim rehta hai. Is liye keh an dekhe mustaqbil ki hifazat ke liye
kisi aik zaat par yaqeen hona zaruri hai.
Baro’n ka qol hai. Chiraag
se Chiraag jalta hai. Yeh chiraag woh toheed parast saahib e dil hazraat o
khawateen hain jo tazkiya aur taqwa ke sath Allah ka qurb haasil karte hain.
Saahib e dil insaan!
Tam’maam insaano’n se mohabbat karta hai aloom o fanoon ka ahtraam karta hai.
Allah aur is ke Rasool Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ke ahkamaat par
khush ho kar amal karta hai. Khud bhi khush rehta hai aur dusro’n ko bhi khush
rakhta hai. Tma’maam rzaail akhlaaq se paak ho jata hai.. Agar aisa nahin hai
to woh sufi nahin hai.
Amal ke bager Irfan haasil
nahin hota. Pas jo shakhs ba’amal nahin woh sufi nahin hai. Isse ham falsafi ya
mutakalam kahe sakte hain.
Sufi apne baatin se waaqif hota hai. Allah ki sifaat ka
mushahidah karta hai. Is ke oopar geb ki duniya roshan hoti hai woh sirf
tazkiya nafs ki talqeen nahin karta. Apne shagirdo’n ko batata hai keh insaan
ke andar puri kaainaat basi hui hai, kainaat baahir nahin hai hamare andar hai.
Allah ne apne bando’n se wadah kiya hai keh jo log arfaan e illahi ke liye jado
jehad karte hain Allah Ta’lah in bando’n ke oopar hadayat ke raaste khol deta
hai.
Ta’luq khaatir ke saath yaqeen o istehkaam ke saath dil
ki gehraaiyo’n ke saath koshish karo ge to tum Allah ko dekh lo ge.
Tasawwuf maz’hab ki rooh hai aur rooh baatin ki
gehraayio’n main mushahidah ka zariyah hai. Momin o kaaifr , hindu musalmaan
kaale gore apne paraaye har shakhs se sufi is liye mohabbat karta hai keh sab
Allah ki makhlooq hain. Woh kisi par jabar nahin karta. Is ke akhlaaq o kirdaar
se mutaasir ho kar log islaam qabool kar lete hain.
Hazoor Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ka
irshaad hai:
“Makhlooq allah ka kunbah hai.”
Wali allah bhi khud ko Allah ka kunbah ka fard samajhte hain. In ka yaqeen hai keh har shey ke zaahir o baatin main Allah ka noor jalwah gar hai, har shey main isi ka za’hoor hai. Saari kainaat par isi ki hukmiraani hai. Wohi peda karta hai, wohi zindah rakhta hai aur wohi mot deta hai. Peda hone, zindah rehene aur kabhi na marne par kisi ko koi ikhtiyaar nahin hai.
Rabb ul aalimeen insaan par ye haqeeqat munakashaf karte
hain keh aalam aik nahin hai. Shuma’riyaat se ziyadah aalimeen hain aur hamari
duniya ki tarah karoro’n duniyaaein aur hain aur tam’maam duniayao’n ko allah
Ta’lah ne wasaail atta karta hai.
In ke khaane peene, libaas, ghar, rozgaar aur naslao’n ke
liye tawazun, tuwatar aur tasalsal ke sath rizq peda karta hai aur Syedna
Hazoor Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam in wasaail ko rehmat ke sath
taqseem farmate hain.
Aik aalam ya aik duniya ke ilawah lashumar duniyao’n ko
dekhna. Samajhna aur in dhuniyao’n ke shab o roz se waaqif hona. Na’soti
sha’oor se mumkn nahin hai. Har insaan ke andar na’soti sha’oor ke saath ,
ma’waraai sha’oor bhi hai. Is main ma’waraai sha’oor se waaqfiyat haasil karne
ka Ilm tasawwuf
Hai. Jis ne apne
nafs(ma’waraai sha’oor) ko pehchana, is ne apne Rabb ko pehchana.
Nauo’n main Afzal bande Hazrat Muhammad Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi
Wa’sal’lam ko Allah ne apne paas bulaya aur khud se itna qareeb kar liya keh do
kamaano’n ka faasilah rahe gaya ya is se kam.
“Ham ne apne mehboob bande se raaz o niyaaz ki baatein
ken aur hamare bande ne jo dekha jhoot nahin dekha.”
(Surah Najam:Ayat:10-11)
Rasool Allah Sal’lallaho Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam ne
niha’yat mushaqat, masaaib aur pareshaani bardaasht kar ke apni ummat ko toheed
par qaaim rehene ka program atta kiya hai. Hazoor Paak Sal’lallaho Al’lehi
Wa’Aalehi Wa’sal’lam ka Irshaad:
Jo tum apne liye chaho
wohi apne behan bhai ke liye chaho.
Illam haasil karna har
musalmaan mard aur har musalman aurat par farz hai.
Jahan tum chaar ho wahan
paanchwa’n allah hai.
Allah tumhar rag e jaa’n se ziyadah qareeb hai.
Allah har shey par muheet
hai.
Dusre mazaa’hab ke ulmaa
ka ahtraam karo, unhain buran a kaho agar tum bura kaho ge to woh tumhare ulma
ko bura kahen ge.
Rasool Allah Sal’lallaho
Al’lehi Wa’Aalehi Wa’sal’lam burai ka badlah buraai se nahin dete the balk eh
muaaf aur darguzar farma dete the.
Allah ki kitaab Quran
Hakeem main bari wazahat ke saath biyan hua hai:
“Pas
Aapas main tafirqah na daalo.” (Surah
Al’Imran: Ayat 103)
KHWAJA SHAMS-UD-DIN AZEEMI
Rohaniyat
aur tasawuf ke barey mein logon nay bohat kuch likha hai, aik giroh ka
khayaal hai ke aksar sufia chunkay oon ka libaas pehantay they is liye log
inhen sufi kehte they. Oon ko arabi mein sof kehte hain. Woh log yeh libaas is
liye pehantay they ke sof ka libaas pehnana aksar nabiyo, walyoon aur bargzida
hstyon ka mamool raha hai. Baaz hazraat ke khayaal mein ashaab sufah ke sath
nisbat rakhnay ki wajah se yeh log sufi kehlate hain jabkay aik tabqa ka
khayaal hai ke sufi Safa se mushtaq hai lekin un saari tshrihat se dil mutmaen
nahi hota.